Home Mool Cheezein Islam Pehli Baar Islam Seekhne Walo Ke Liye Ek Aasaan Guide

Pehli Baar Islam Seekhne Walo Ke Liye Ek Aasaan Guide

Islam Muslims

Islam dunya ka sabse tezi se badhne wala mazhab hai. Is dharti par takriban 2 arab muslim hain parantu bohot sare logo ko islam ke baare mein zyaada jaankari nahi hain. Aksar logo ke dilo mein Islam dharm aur ek Muslim ke dhaarna ke baareme kuch sawaal paaye jaate hain jaise ke.

Islam kya hai?

Islam ek Arabi shabd hai is ka matlab hai “saupna” ya “dil se agyakari hona.“ Aasaan Shabdo Mein Islam ka matlab hai – “Apni marzi chhod kar Allah ki Marzi ke mutaabik uske bataye hue raste par chalna”. Agar hum islam ke is bunyaadi matlab par gaur kare to yeh saare Brhammaand, graha, pedh, paudhe, jaanwar sare ke sare islam par chal rahe hain,kyuki ye sare uss hi tarike se zindagi guzaar rahe hain jis tarah zindagi guzarne ke liye Allah ne unhe paida kiya.

Insaan in sab se alag hain kyuki hum Chun sakte hai ke Allah ke diye gaye niyamo ka palan kare ya koi alag taur tariqa apnaye.

Islam ye naam koi Insaan ke naam par nahi rakha gaya hai jaisa ke Isaiyat Isa (Jesus) ke naam pe aur Buddh dharm Gautam Buddha ke naam par hai, na hi Islam ye naam koi ek samudaay ke naam par rakha gaya hai jaisa ke Hindu ya Yahudiyat. Islam sidha saadha mazhab hai jo hume sikhata hai ke Allah ke diye hue raaste par hume zindagi basar karni chahiye. Isliye Islam keval ek mazhab hi nahi balke ek mukammal Deen aur zindagi guzarne ka ek tariqa hai.

Muslim kaun hote hain?

Muslim wo insaan hai jo Islam ko follow karta hai. Arabi zabaan mein shabd ke shuruwaat me “mu” ye shabd lagana koi bhi angrezi shabd ke aakhir mein “er” lagane jaisa hai. Udhaaran ki taur par, farm ke aage “er” lagane se “farmer” ban jaata hai (farming karne waala), work ke aage “er” lagane se “worker” (work karne waala) ban jaata hai usi tarah Arabi mein Islam shabd ke aage “mu” lagane se muslim ban jaata hai (yane Islam pe chalne waala).

Allah kaun hai?

Allah arabi shabd hai us ek sachche Ishwar ke liye. Arabi bolne wale Yahoodi (Jews) aur Isai (Christians) bhi Ishwar ke liye yahi shabd istemaal karte hain. Allah ek hai, uska koi partner nahi hai. Allah hamesha rehne wala, har ek cheez ko bananewala hai. Allah ki koi aulaad nahi hai, na hi Allah ke koi maata pita hain. Allah koi aatma nahi, na hi wo koi insaan hai na hi wo koi taakatwar golaakar cheez hai. Allah ke jaisa koi bhi nahi.

Paigambar Muhammad ﷺ kaun hai?

Muhammad (rehmatein aur salaamatein ho aap par) Makkah mein san 570 mein paida hue. Unke jawani se hi woh ek bohot hi imaandaar aur bharosemand insaan jaane jaate the. Un ke aas paas hamesha se buto ki puja ki jaati thi Lekin bawajood Iske, wo hamesha se apne dil me jaante the ke sirf ek hi sachcha Ishwar hai. Jab Woh 40 saal ke hue tab Ishwar ne Muhammad ﷺ ko paigambar banaya, taaki wo logo me jaakar Allah ka paigaam un tak pahunchaye.

Muhammad ﷺ, Allah ke aakhri aur antim paigambar the. Paigambaro ki ek lambi line mein Woh aakhri paigambar the. Un ke alawa bohot sare dusre paigambaro ka zikar Isaiyat Aur Yahoodi mazhabi kitaabo mein paaya jaata hai jaisa ke Aadam, Nuh, Ibraheem, Yaqub, Musa, Dawood, Sulayman, Yahya aur Eesa (in sab par Allah ki shanti rahe).

Paigambari ke saare 23 saal paigambar Muhammad ﷺ ne mushkile jheli, sirf aur sirf Allah ka sandesh logo tak pahunchane ke liye.

Quran kya hai?

Quran Allah ka kalaam aur sandesh hai jo Allah ne uss ke paigambar Muhammad ﷺ ko diya. Yeh Quran thoda thoda paigambari ke 23 saal ke dauraan diya gaya. Quran Allah ke taraf se insaniyat ke liye aakhri aur antim sandesh hai, aur is Quran me insaniyat ke liye zindagi guzaarne ke liye ek rehnumaa aur hidayat hai. Insaan ke itihaas me Allah ki taraf se bahut sare paigambar bheje gaye, jo logo tak Allah ka sandesh pahuchate rahe. Waqt ke guzar jane ke saath saath logo ne in paigambaro ne jo sandesh laya tha usme fer badal kar diya aur khud ke taraf se kuch cheeze usme dal di aur kuch nikal di. Iss wajah se jo pavitra sandesh tha wo pavitra nahi raha aur lupt ho gaya. Pehle aisa hone par har kuch saalo ke baad ek naye paigambar aate aur Allah ke taraf se logo ko pavitra sandesh dete aisa karne se jo bhi fer badal hua ho wo sab nikal jaata aur sandesh fir se pavitra ho jaata. Pechle saare sandesh ko pavitra aur milawat se door rakhne ki zimmedari un logo ko saupi thi jinko wo sandesh pahuchaya gaya tha, Par Quran kyuki Allah ke taraf se aakhri sandesh hai, Allah ne Khud Apne aap par isko pavitra rakhne ki zimmedari li hai.

Muhammad ﷺ ke anuyaayiyon ne Quran ko shabd dar shabd yaad Kiya aur apne dilo me mehfooz kiya aur shabd dar shabd likha bilkul waisa jaisa ke Allah ne paigambar Muhammad ﷺ pe Quran naazil kiya. Iss ke zariye Quran 1400 se zyaada saal se usi tarah pavitra raha hai.

Hadees kya hai?

Hadees paigambar Muhammad ﷺ ke kaarya aur bol Ka Ek Sangrah hai. Hadees Muhammad ﷺ ka uddaharan hamare saamne rakhti hai aur unke zindagi ke baare me batati hai. Hadeesse hume Muhammad ﷺ ke zindagi ki badi se Badi maloomat se lekar ke choti se choti cheez ke baare me pata chalta hai. Jo kuch unhone kiya, ya kaha, ya koi cheez ke baare me taaqeed ki ya Quran ke koi aayat ko samjhaya ye saari cheeze hume Hadees se milti hai. Jo ilm hume Hadeeske zariye milta hai usse hum sunnah kehte hai, is sunnat ko paalan karne ki koshish ek Muslim karta hai.

Hum apni zindagi Allah ke ichcha ke hisaab se kaise guzaare?

Ye ek bohot hi bada sawwal hai, agar aasan lafzo me iiska jawaab me du to yeh raha:

Quran Padhiye aur Jaaniye!

Aur Lekh Load Karein
Comments Bund Hain.

Yeh Bhi Dekhe

Kya Islam Anya Logo Ke Dharm Vishwaaso Se Sehensheelta Sikhata Hai?

Islam Dharm Ko Aksar Nafrat Aur Abaadhit Hinsa Me Chitrit Kiya Jata Hai. Ke Yeh Dusre Dhar…