Aise samay mein jab saari duniya, Greece aur Rome se lekar Bhaarat aur Cheen tak, mahilaaon ko bachchon se ya gulaamon se behtar nahi samjha jaata tha, Islam ne kahi maamalon mein purushon ke saath mahilaon ki samaanata ko Qubool kiya. Quran mein kaha gaya hai:
“Aur Uski nishaaniyon mein se hai ke tumme se hi biwiyaan paida ki taake tum unse aaraam pao usne tumhaare darmiyaan mohabbat aur hamdardi qaaim kardi, yaqeenan gauro fikr karnay waalo ke liye iss mein bohot si nishaaniyaan hain” [Pavitra Quran 30:21]
Paigambar Muhammad (rehmatein aur salaamatein ho aap par) ne kaha:
“Imaan/Shraddha Ke Aitbaar Se Sabse Accha Imaanwala Woh Hai Jiski Aadate Acchi Hai Aur Jo Apne Biwi Ki Taraf Naram Dil Hai” [Abu Dawud]
Musalmaano ka maanna hai ki Adam aur Hawwa ko ek hi aatma se banaaya gaya tha. Dono apne paap aur anugrah se girne ke liye baraabar doshi the, aur Allah ne un dono ko maaf kardiya. Islam mein bohot saari mahilaon ko bada maqaam mila hain. ; iss tathya par vichaar kare ki Islam Qabool Karne waali pehli vyakti Muhammad ﷺ ki patni Khadijah thi, jisse woh pyaar bhi karte the aur sammaan bhi. Khadija Ke Maut Ke Baad Unki pasandeeda patni, Aaisha, ek mashoor Scholar bann chuki thi aur hadees saahitya ke sabse mahaan sroton mein se ek thi. Kai mahila saathiyon ne mahaan kaarya kiye aur maan haasil ki, aur poore Islami itihaas mein woh prasiddh aur prabhaavashaalee vidvaan aur kaanunvida rahe hain.
Shiksha ke sambandh se, mahilaon aur purushon dono ke samaan adhikaar aur kartavya hain. Yeh saaf hai Nabi Muhammad ﷺ ke kehne mein:
“Ilm / Vidya Ka Haasil Karna Har Imaanwale Ke Liye Zaroori Hai” [Ibn Majah]
Yeh Purush Aur Mahila, Dono Ke Liye hai.
Ek mahila ke saath uss adhikaar ke anusaar sulook karna chahiye jaise Parmeshwarne use diya hai, jaise ke uske saath vishesh sulook karna, shaadi ke baad bhi, khud ki kamaayi aur sampatti ko bechne ka ya rakhne ka adhikaar, anubandhon mein pravesh karna. Usey adhikaar hai paddhaayi karne ka aur ghar ke bahaar kaam karne ka. usey apne pita, maata aur pati se viraasat mein adhikaar hai. Ek bohot hi dilchasp baat yeh hai ke Islam, kisi bhi dharm ke vipreet, ek aurat ko Imam Banne Ka Adhikaar Deta Hai Jaha Woh Mahilao Ko Namaaz Padha Sakti Hai.
Ek Musalmaan mahila ke kuch duty hain. Namaaz, roza, daan, Hajj, achhe karm karna, aadi se sambandhit sabhi kaanunon aur niyam mahilaon par laagu hote hain, bas thode cheeze alag hai, jo unke mahila shareer kriya vigyaan ki wajah se hai.
Shaadi se pehle, ek mahilaa ko adhikaar hai uske pati ko chunne ka. Shaadi ke liye mahila ki sehmati ki aavashyakata ke baare mein Islami kaanoon bohot sakht hai. Dulha apni dulhan ko shaadi ka dahej deta hai jise Dulhan nijee upayog ke liye rakhti hai. Vah apne pati ka naam lene ke bajaay apna khud ka paarivaarik naam rakhti hai. Ek patni ke roop mein, ek mahila ko apne pati dvaara samarthit hone ka adhikaar hai, bhale hi vah pehle se hi ameer ho. Use talaaq aur chhote bachchon ki custody lene ka bhi adhikaar hai. Vah kuch asaamaanya sthitiyon ko chhodd kar dahej vaapas nahi karti hai.
Kahi sthaanon aur samayon par Musalmaan samudaayon ne apne daayitvon ka paalan poori tarah se nahi kiya, isske baawajood bhi yeh prathaaen 1,400 saalon se mojood hai, jabke saare mukhya sabhyataaen yeh vishay ke baare mein baat nahi karte the aur apne nakaar bhaavon ko badalte nahi the unneesvi aur beessvi sadi tak, aur abhi bhi bohot saare samakaaleen sabhyataaen hai jo abhi tak yeh soch nahi badal paayi.