Parmeshwar Ke Astitva Par Sawaal Uthta Rehta Hai, Chahe Sabah Ho, Classroom Ho, TV Ho Ya Filme Ho. Jab Ke Kuch Log Parmeshwar Ke Hone Par Shak Karte Hain, Alag Alag Zamano Mein, Sanskrutiyo Mein Aur Kshetro Mein Logo Ne Ek Badi Taaqat Ke Hone Par Yaqeen Kiya Hain. Is Haqeeqat Ke Bawajood Ke Insaan Har Cheez Mein Alag-Alag Raaye Rakhta Hai, Ek Badi Taaqat Ke Hone Ka Har Daur Mein, Sanskrutiyo Aur Sthano Mein Yeh Vishwaas Humesha Se Raha Hai.
Nastikta Ko Zyada Prasiddhi Haali Mein Mili Hai Khaas Kar Jab Paschim Ka Church Ke Saath Bura Anubhaw Raha. Isiliye Naastik Ka Dharm Ko Inkaar Karne Ka Kaaran Isaiyat (Christianity) Ko Padhne Ke Baad Hua Hai Na Ke Islam Ko. Naastikta Aur Naastik Aksar Apni Baat Rakhte Hue Yeh Batate Hain Ke Unki Baat Logical (Aqal Ke Hisaab Se) Aur Vaigyaanik / Scientific Hai Aur Sath Hi Sath Woh Dharm Aur Dharm Ke Manne Walo Ko Illogical Aur Backward Ke Taur Par Pesh Karte Hain. Woh Parmeshwar Ka Inkaar Is Baat Par Karte Hain, Ke Unko Lagta Hai Ke Parmeshwar Ke Hone Ka Koi Vaigyaanik / Scientific Saboot Nahi Hai. Yeh Ek Gair Munasib Standard Hai, Kyun Ki Saari Cheeze Microscope Ke Neeche Aur Lab Mein Nahi Parkhi Ja Sakti Hain. Humari Roz Marra Ki Zindagi Mein Kai Aisi Cheeze Hain Jo Hum Bagair Kisi Scientific Method (Vaigyaanik Vidhi) Ke Unhe Saheeh Maante Hain.
Kuch Naastik Parmeshwar Mein Manne Se Inkaar Is Buniyad Par Karte Hain Ke Woh Parmeshwar Ko Dekh Nahi Sakte Hain. Unke Liye Andekhi Par Yaqeen Karna Aisa Hai Jaise Pariyo Ki Kahani Mein Yaqeen Karna. Haalake Zindagi Mein Har Cheez Sirf Isiliye Nahi Maani Jaati Kyun Ki Hum Use Dekh Sakte Hai. Bahot Sari Aisi Cheeze Hain Jin Par Hum Yaqeen Ke Buniyad Par Maante Hai Na Ke Saboot Ki Buniyad Par. Adaalat Mein Log Kuch Saabit Karne Ke Liye Sabooto Ka Istemaal Karte Hain. Woh Har Tukdo Ko Lekar Ek Saath Rakh Kar “Saboot” Pesh Karte Hain. Murder Wali Jagah Par Gloves, Ek Gawah Aur Murder Ka Maqsad Yeh Saare Tukde Jod Kar Khooni Ke Khilaaf Ek Kanooni Kaarwai Karne Ke Liye Upyog Kiya Jaata Hain. Agar Aap Ghar Jaate Hai Aur Waha Mata-Pita Ki Gaadi Dekhte Hai, Gaadi Ki Chaabi Dekhte Hai, Joote, Jacket Aur Chaata Dekhte Hai To Aap In Saari Cheezo Ka Upjog Karke Is Logical Natije Par Pohachte Hai Ke Mata-Pita Ghar Mein Hain.
Hum Apne Zindagi Mein Bohot Sare Cheezo Ko Sakshya Ke Buniyad Par Qabool Karte Hai Na Ki Dekhne Ke Taur Par. Udhaaran Ke Liye, Hum Maante Hain Ke Humare Mata-Pita Haqeeqat Mein Humare Mata-Pita Hai. Hum Koi Vaigyaanik Pramaan Ki Maang Nahi Karte Hai Yeh Saabit Karne Ke Liye Ke Woh Humare Mata-Pita Hai. Log Yeh Is Baat Ki Buniyad Par Qabool Karte Hain Ke Unke Mata-Pita Kai Saalo Se Unke Saath Hain, Dusre Log Bhi Is Baat Ki Gawahi Dete Hain Ke Yeh Us Shaks Ke Mata-Pita Hain Aur Is Buniyad Par Bhi Ke Unke Mata-Pita Ek Doosre Ke Prati Wafadaar Hain. Log Kisiko Mard Ya Aurat Unke Chehre Ke Baal, Body Aur Dusre Features Ko Dekh Kar Pehchaante Hain. Koi Apne Dimaag Mein Yeh Baat Nahi Rakhta Ke Use Saboot Chahiye Ke Woh Mard Hai Ya Aurat Aur Iske Liye Woh Is Cheez Ki Maang Nahi Karta Ke Woh Use Apne Guptaang Dikhaye Taki Yeh Saboot Mile Ke Woh Mard Hai Ya Aurat. Doosre Shabdo Mein, Ve Bina Dekhe Hi Kisi Cheez Ko Maan Lete Hain.
Isi Tarah Hum Parmeshwar Ko Dekh Nahi Sakte, Lekin Bohot Sari Nishaniya Hain Jinhe Jama Karke Dekhe To Yeh Saabit Hota Hai Ke Parmeshwar Waqai Mein Hai. Quran Kudrat Ki Cheezo Ko Nishaaniyo Ke Taur Par Batata Hain Jo Parmeshwar Ki Mahanta Aur Uske Wajood Ki Taraf Ishara Karti Hain. Lekin Bohot Se Log In Nishaniyo Ya Sabooto Se Guzar Jaate Hain Aur Abhimaan/Ghamand Mein Usse Door Ho Jate Hain.
“Aasmaano Aur Zameen Mein Bohot Si Nihsaaniyan Hain Jinse Yeh Mooh Mode Guzar Jaate Hain” [Pavitra Quran 12:105]
Suraj, Chaand, Dharti, Baarish, Paidaish, Jaanwar, Insaan Ka Badan Aur Zindagi, Yeh Saare Saboot Hain Parmeshwar Ke Astitva Ki, Uske Ilm Ki Aur Uske Hikmat Ki. Yeh Woh Nishaniyan Hain Jo Hume Logical Anjaam Ki Taraf Le Jate Hain Ke Ek Parmeshwar Hai Aur Usne Yeh Duniya Ko Vyarth Nahi Banaya Hai.
“Yaqeenan Aasmano Aur Zameen Ki Paidaish Mein Aur Raat Din Ke Fer Badal Mein Yaqeenan Alqalmando Ke Liye Nishaaniyan Hain. Jo Allah Ka Zikr Khade Aur Baithe Aur Apne Karwato Par Lete Hue Karte Hain Aur Aasmaano Aur Zameen Ki Paidaish Mein Gaur Aur Fikr Karte Hain Aur Kehte Hain ‘Aye Humare Parwardigaar, Tune Ise Bekar Paida Nahi Kiya. Tu Paak Hai, Bas Hume (Jahannam Ki) Aag Ki Sazaa Se Bacha’” [Pavitra Quran 3:190-191]
Insaan Ki Aksariyat Parmeshwar Ke Astitwa Ke Liye Saboot Nahi Maangti, Kyun Ki Yeh Bahut Saral Hai. Jaise Arabi Ka Ek Muhawara Hai Ke “Agar Din Ke Ujaale Ko Bhi Saabit Karne Ki Zaroorat Ho To Kuch Bhi Samajh Nahi Aayega”