Home Mool Cheezein Paigambar Muhammad Unka Naam Hai Muhammad ﷺ

Unka Naam Hai Muhammad ﷺ

Muhammad

Muhammad ﷺ – Ek Chota Sa Vivaran

Aap Ek Christian Protestant, Catholic, Jew, Naastik, Naastivaadi Ho Sakte Hai, Ya Aap Aaj Ki Duniya Mein Maujood Kai Alag-Alag Dhaarmik Sampradaayon Mein Se Kisi Se Sambandhit Ho Sakte Hai. Aap Ek Communist Bhi Ho Sakte Hai Ya Phir Aap Democracy Par Vishwas Karte Hoge.

Aap Jo Bhi Hai Aur Jo Bhi Vichaardhara Ya Raajnitik Khayaalat Rakhte Hain, Ya Samajik Aadatein, Iss Mein Koi Shak Nahi Hai Ke –

Aap Yeh Vyakti Ko Jaante Hoge – Muhammad ﷺ

Woh Ab Tak Ke Sabse Qabil Insaan The Jisne Kabhi Iss Dharti Par Pair Rakha Tha. Unhone Ek Dharm Ka Prachaar Kiya, Ek Rajya Ki Sthapna Ki, Ek Rashtra Ka Nirman Kiya, Ek Netik Sanhita Rakhi, Kai Samaajik Aur Rajnitik Sudharo Ki Shuruat Ki, Apni Shikshao Ka Abhyas Aur Prastut Karne Ke Liye Ek Shaktishaali Samaj Ki Sthapna Ki Aur Aane Wale Samay Ke Liye Poori Tarah Se Maanav Vichar Aur Vyavahar Ki Dunya Mein Kraanti La Di.

Unka Naam Muhammad ﷺ Hai

Woh Arabia Mein Paida Hue The San 570 C.E (Common Era) Mein, Sacche Dharm Islam Ki Prachaar Shuru Ki Chalis Saal Ki Umar Mein Aur Iss Dunya Se Vida Huye Unhattar Saal Ki Umr Mein.

Yeh Unke Chote 23 Saal Nubuwwat Ke Dauran, Unhone Saara Arabian Peninsula Badal Diya, Moortipooja Se Ek Ishwar Ki Ibaadat Karne Ke Liye, Aadiwasi Jhagdo Aur Yuddho Se Lekar Rashtriya Ekta Aur Sambandh Tak, Nashe Aur Aiyyaashi Se Lekar Saadgi Aur Dhaarmikta Tak, Araajakta Se Anushaasit Jeevan Tak, Divala Se Lekar Sabse Uchi Dhaarmik Badhaayi Tak. Maanav Itihaas Ne Pehle Kabhi Aisa Poorn Parivartan Nahi Dekha – Aur Soche Yeh Zabardast Chamatkaar Keval Do Daksho Mein Hi Kiye Gaye The.

Duniya Mein Mahaan Hastiyo Ka Apna Hissa Raha Hai. Lekin Yeh Sab Sirf One-sided Hastiya Hai Jo Sirf Ek Ya Do Kshetro Mein Mashoor The, Jaise Ke Dharm Vichar Ya Fauji Leadership. Lekin Duniya Ki Inn Mahaan Hastiyo Ke Jeevan Aur Shikshaen Samay Ki Dhundh Mein Doobe Huye Hain. Unke Janm Ka Samay Aur Sthaan, Unke Jeene Ka Tareeka, Unke Shikshan Ke Details Aur Gunn Aur Unke Safalta Aur Asafalta Ki Maap, Yeh Sab Jo Maanav Jaati Ke Liye Na Mumkin Bana Deti Hain Phir Se Rachne Ki Inn Puroosho Ke Jeevan Aur Shikshao Ko.

Magar Iss Vyakti Ke LiyeYeh Aisa Nahi Hai. Saare Maanav Itihas Mein Muhammad ﷺ Ne Bohot Kuch Haasil Kiya Hai Maanav Vichar Aur Vyavahaar Ke Field Mein. Unki Private Aur Public Zindagi Ki Har Detail Sahi Dhang Se Pralekhit Hai Aur Imaandari Se Sarankshit Hai. Yeh Saache Sarankshit Records Ki Gawahi Sirf Imaandar Se Follow Karne Waalo Ne Nahi Di, Balke Critics Bhi Dete Hain.

Muhammad ﷺ Ek Dhaarmik Shikshak The, Ek Samaaj Sudhaarak The, Ek Naitik Maargadarshak The, Prashaasanik Bhimakaar, Ek Wafadaar Dost, Ek Adbhut Saathi, Ek Samarpit Pati, Ek Pyaar Karne Waale Pita – Sab Hi Ek Saath. Koi Purush Maanav Itihaas Mein Unke Baraabar Ho Nahi Paya Itne Saare Zindagi Ke Pehluo Mein – Magar Sirf Muhammed ﷺ Jaise Nisvaarth Vyakti Ne Yeh Sab Haasil Kiya Perfection Ke Saath.

Muhammad ﷺ Sirf Ek Maamuli Insaan The, Magar Woh Ek Mahaan Mission Ke Saath Aaye The, Jo Ke Tha Ke Maanav Jaati Ko Ek Ishwar Ki Ibaadat Pe Jodna Aur Unhe Ishwar Ke Aagyo Ke Adhaar Par Ek Imaandar Aur Sacchi Zindagi Jeene Ka Tareeka Sikhana. Woh Humesha Apne Aap Ko “Ishwar Ka Ek Gulam Aur Paigambar” Kehte The, Toh Unki Har Harkat Is Cheez Ka Saboot Tha.

Aaj Chaudha Sadiyo Baad, Muhammad ﷺ Ki Zindagi Aur Unke Shikshaein Ko Abhi Tak Thoda Sa Nuksaan, Parivartan Ya Prakshep Ne Nahi Chua. Ve Maanav Jaati Ke Kai Bimaariyo Ke Ilaaj Ke Liye Ek Hi Ummeed Pradaan Karte Hain, Jo Unhone Jeevit Hone Par Kiye The. Yeh Muhammad ﷺ Ke Anuyaayiyo Ka Daava Nahi Hai, Lekin Ek Mahatvapoorn Aur Nishpaksh Itihaas Dvaara Nishkarsh Parinam Hai.

Kam Se Kam, Aap Ek Samajhdar Aur Chintit Insaan Hokar Ek Pal Ke Liye Rukh Kar Yeh Apne Aap Se Pooche: Kya Waqayi Asaadhaaran Aur Parivartan Lagne Wale Yeh Bayaan Sach Ho Sakte Hain? Aur Yeh Maankar Ke Vaastav Mein Yeh Sach Hai Aur Aap Iss Vyakti Muhammad ﷺ Ke Baare Mein Nahi Jaante The Ya Phir Kabhi Unke Baare Mein Suna Nahi, Kya Yeh Waqt Nahi Hai Ke Aap Iss Zabardast Chunoti Ko Jawab De Aur Unke Baare Mein Jaanne Ka Prayaas Kare?

Yeh Aap Ko Kuch Bhi Kharch Nahi Karvayega, Lekin Yeh Aap Ke Jeevan Mein Ek Bilkul Nayi Yug Ki Shuruaat Saabit Ho Sakta Hai.

Hum Aapko Invite Karte Hai Iss Anokhe Vyakti Muhammad ﷺ Ke Baare Mein Jaanne, Jin Ke Samaan Iss Prithvi Ke Chehre Par Koi Kabhi Nahi Chala.

Aur Lekh Load Karein
Comments Bund Hain.

Yeh Bhi Dekhe

Kya Islam Anya Logo Ke Dharm Vishwaaso Se Sehensheelta Sikhata Hai?

Islam Dharm Ko Aksar Nafrat Aur Abaadhit Hinsa Me Chitrit Kiya Jata Hai. Ke Yeh Dusre Dhar…