Islami Mahina Roza (Upwaas) Rakhne Ka – Kaise Shuru Hua Yeh?
Ramzan, Nauva Mahina Islami Calendar Ka, Ek Pavitra Mahina Ke Roop Mein Sthapit Kiya Gaya Tha, Jab Nabi Muhammad (Rehmatein Aur Salaamatein Ho Un Par) Ko Quran Diya Gaya Tha Laylat Al-Qadr Ke Avsar Par, Jise Bohot Baar “Taqdeer Ki Raat” Kaha Jata Hai.
Ramzan Ka Anupaalan Karna Quran Mein Lazmi Bataya Gaya Hai, Jahan Ishwar Kehte Hai:
“MAAHE RAMZAN WOH HAI JIS MEIN QURAN UTARA GAYA JO LOGO KO HIDAYAT KI ORE AUR HAQ WA BAATIL KI TAMEEZ KI NISHAANIYA HAI.” [PAVITRA QURAN 2:185]
Chuke Chandra Calendar Sor Calendar Se Nahi Milta Hai, Ramzan Ki Tareek Har Saal Lag Bhag 11 Din Se Shift Hoti Hai, Jiska Ant Eid Ke Tyohaar Se Hota Hai.
Aadhunik Roza – Ek Musalmaan Ka Routine
Roza Rakhna Ramzan Ka Tattva Hai. Is Mahine Ke Dauraan, Musalmaan Roza Rakhte Hai Prabhaat (Dawn) Se Lekar Suryaast Tak. Suraj Doobne Ke Samay, Pariwaar Aur Dost Ek Saath Milkar Iftaar Karte Hain. Iftaar Us Bhojan Ko Kehte Hai Jise Musalmaan Khaate Hai Aur Apna Roza Toddte Hain.
Upwaas Rakhna Ek Naya Chalan Ban Chuka Tha Jab Swaasthya Ke Guru Ne Intermittent Fast Diet Ka Parichay Kiya. Swaasthya Ke Coaches, Fitness Experts Aur Trainers Iska Updesh Karte Hain. Is Wajah Se, Nutritionists Aur Medical Sahyogi Roza Aur Ramzan Ke Baare Mein Detail Mein Sochne Lage. Canadian Medical Association Journal Ka Maanna Hai Ke Bohot Si Research Mawjood Hai Jo Sehat Ke Bohot Se Fayde Batati Hai Roza Rakhne Se.
Lifestyle / Jeevan Sheli Mein Badlaav – Islami Tareeke Mein
Is Naye Sanak Mein Lifestyle/Jeevan Sheli Mein Badlaav Shaamil Hai. Soorya Ke Uday/Sunrise Se Pehle Jaagna, Aur Fitness Training Karna Aur Uske Baad Apne Aap Ko Hydrate Karna (Bharpoor Paani Pina), Aahista-Aahista Naashta Karna, Jis Mein Aap Apne Pet Ke Ek Hisse Ko Khaali Chodd Dete Hai. Phir 7-9 Ghanto Ke Liye Roza Rakhna Aur Ek Bhojan Khaana Sone Se Kai Ghante Pehle.
Agar Aap Is Routine Ko Detail Mein Padhe, Toh Aap Ko Ehsaas Hoga Ke Yeh Ek Musalmaan Ka Tareeka Hai Apna Din Shuru Karne Ka. Ramzan Ho Ya Na Ho, Musalmaan Soorya Ke Uday/Sunrise Se Pehle Jagte Hai, Apni Namaazein Padhte Hain Aur Apna Daily Kaam Shuru Karte Hain.
Ek Acche Sehat Ka Sabse Ehem Niyam Ek Santulit Aahaar/Diet Hai. Paigambar Muhammad ﷺ Ne Kam Khaane Ki Aadat Par Mahatva Di Hai Jo Ke Ek Zariya Hai Bimaariyo Se Bachne Ka. Unhone Kaha:
“Adam Ki Aulaad Pet Se Zyada Aur Kisi Cheez Ko Nahi Bharta Hai. Adam Ki Aulaad Ke Liye Kaafi Hai Ke Woh Chand Niwaale Khaye Apne Aap Ko Zinda Rakhne Ke Liye. Aur Agar Use Pet Bhar Na Hai To Woh (Apne Pet Ko Teen Hisse Mein Baattein) Ek Hissa Khane Ka, Ek Hissa Paani Ka, Aur Ek Hissa Hawa Ka”
Ramzan Ke Baare Mein Woh Cheezein Jo Aapko Pata Nahi Thi
1. Roza Dhaarmik Aur Shareeri Tandrusti Ke Liye Hai. Yeh Ek Swasthya Aur Santoshprad Jeevan Ka Pradaan Karta Hai. Yeh Baat Musalmaano Ko 1400 Saal Pehle Se Hi Pata Hai.
2, Ramzan Mein Haraam Cheezo Se Door Rehna 30 Dino Ke Liye Musalmaano Ko Madad Karta Hai Unke Buri Aadato Se Chutkaara Paane Ke Liye Jaise Dhoomrapaan Aur Chugli Karna.
3. Musalmaan Apna Roza Khajoor Khakar Todte Hain Jo Ke Vitamins, Minerals, Fructose Aur Dextrose Se Bharpoor Hote Hain, Jo Ke Ek Swasth Shareer Ke Liye Zaroori Hota Hai.
Swasthya Ke Tathya/Facts
Dr. John Berardi, Jo Ke Mukhya Science Officer Hai Sateek Poshan / Precision Nutrition Ke, Apne Bhaashan Mein Jo Intermittent Roze Ke Upar Hai, Usme Kehte Hai Ke Roza Rakhne Se Diabetes Qabu Mein Rehta Hai, Wazan Kam Hota Hai, Cancer Se Bachata Hai Aur Dimaag Ki Sehat Behtar Karta Hai.
Roza, Khana Aur Motaapa
Duniya Bhar Mein Maut Ka Ek Mukhya Kaaran Hai Motaapa. Yeh Vikaasheel Desho Mein Bhi Badho Aur Baccho Mein Badh Raha Hai. Yeh Is Sadi Ka Sabse Gambheer Saarvajanik Swasthya Samasya Ban Chuka Hai.
Mohammad Yawar Yakoob Jinka Talluq Harvard School of Public Health, Boston, USA Ke Nutrition Ke Department Se Hai, Unhone Ek Before and After Jaanch Ki Thi Egypt Mein Mote Logo Par Jismein Unhe Asadhaaran Tarakki Dikhaayi Di Sehat Aur Tandrusti Mein. Aise Hi Ek Aur Jaanch Ki Gayi Thi Algeria Mein Waha Ke Mote Mahilaaon Par Jinhe Type 2 Diabetes Thi, Aur Roza Rakhne Se Unke Liye Mahatvapoorn Tarakki Mili Thi Glucose Aur Homeostasis Mein.
Kisi Ko Khajoor Chahiye?
Ek Musalmaan Ke Liye Roza Todne Ka Sabse Behtar Tareeqa Hai Khajoor. Khajoor Vitamins, Minerals, Fructose Aur Dextrose Mein Bharpoor Hote Hain, Jo Ke Ek Sehat Mand Shareer Ke Liye Zaroori Hain. Yeh Mars Ya Snickers Ke Bar Se Bhi Zyade Mazedaar Aur Poshtik Hote Hain.
Aadatein Taaqat Paida Karti Hain
Hume Insaan Hone Ke Taur Par Yeh Baat Pata Hai Ke Agar Koi Cheez Ko Lagataar Practice Ki Jaaye 4 Hafto Tak, Woh Ek Aadat Ban Jati Hai Aur Pure Jeevan Humare Saath Lagi Hoti Hai. Toh Ramzan Ek Saheeh Mahina Hai Buri Aadato Se Chutkaara Paane Ka Jaise Ke Dhoomrapaan, Zyaada Khaana, Kharaab Sone Ka Pattern Aur Bohot Kuch. Yeh Ek Naye Aur Behtar Lifestyle Ki Shuruwaat Ho Sakti Hai.
Yeh Ishwar Ke Liye Saraasar Muhabbat Hai Jo Hume Itna Mazboot Banata Hai Jis Se Hum Jayaz Cheezo Se Bhi Door Rehte Hai (Jaise Khaana, Pati Ya Patni Se Sambandh Rakhna). Aisa Karne Se Hume Pata Chalta Hai Ke Jab Hum Jayaz Cheezo Se Door Reh Sakte Hain Toh Kitna Asaan Hota Hai Na Jayaz Cheezo Se Bhi Door Rehna (Jaise Ke Jhoot Bolna, Dhoka Dena, Chugli Karna..). Hum Mein Sambhavna Hai Aur Hum Itne Mazboot Hai Ke Hum Apne Aap Ko Sabse Acche Tareeke Mein Sudhaar Sakte Hain.
Ramzan- Quran Ka Mahina
Ramzan Quran Ka Mahina Hai. Is Mahine Mein Bohot Zyada Quran Padhne Ki Salaah Di Gayi Hai. Gair Musalmaan Jin Mein Tark Se Sochne Ki Aur Cheezon Ki Chhaan-Been Karne Ki Aadat Hai Unhe Zaroor Quran Ko Kam Se Kam Jeevan Mein Ek Baar Padhna Chahiye.
Ek Ehem Khulaasa
Yeh Ehem Hai Ke Hum Yeh Saaf Taur Par Bata De Ke Musalmaan Roza Sehat Ke Fayde Ke Liye Nahi Rakhte Hain. Musalmaan Roza Ishwar Ke Hukum Ko Maante Hue Rakhte Hai Jo Ke Quran Mein Mawjood Hai. Roza Ek Aam Cheez Hai Jo Alag Alag Dharm Wale Rakhte Hain (Jaise Ke Lent Ke Dauraan Isai (Christians) Roza Rakhte Hain Aur Aur Yom Kippur Mein Yahoodi (Jews) Rakhte Hain)
Allah Kehte Hai:
AYE IMAAN WALO TUM PAR ROZE RAKHNA FARZ KIYA GAYA HAI JIS TARAH TUM SE PEHLE LOGO PAR FARZ KIYE GAYE THE TAAKE TUM TAQWA IKHTIYAAR KARO – [PAVITRA QURAN 2:183]
Antt Mein Ek Ehem Baat
Roza Rakhna Dhaarmik Aur Sehat Ki Tandrusti Ke Liye Hai. Yeh Aapko Ek Swaasthya, Santoshprad Aur Lambi Zindagi Jeene Mein Madad Kar Payegi – Ek Tathya/Fact Jo Musalmaano Ko Hazaaro Saal Se Pata Hai. Toh Aap Musalmaan Ho Ya Gair Musalmaan Ho, Aayiye Ramzan Ka Swaagat Karte Hain Aur Roza Rakhte Hain Swastha Bannate Hain, Phir Se Jawaan Mehsoos Karein Aur Ek Naye Hum Bane.