Home Sawaal Allah Main Kaise Jaan Sakta Hoon Ke Ishwar, Vaastav Mein Hai? Iska Saboot Kahan Hai?

Main Kaise Jaan Sakta Hoon Ke Ishwar, Vaastav Mein Hai? Iska Saboot Kahan Hai?

Ishwar Astitva

Agar Mere Paas Is Baat Ka Saboot Nahi Hai, To Main Ishwar Mein Kaise Vishvaas Karu? Mujhe Kaise Pata Chalega Ke Uska Astitva Vastav Mein Hai? Kya Humare Paas Ishwar Ke Astitva Ka Koi Saboot Hai?

Haan. Allah Ne Nishaaniya, Apni Kitaabein Aur Paigambaro Ko Bheja Tha Saaf Saboot Dene Ke Liye Ke Uska Astitva Hai Aur Sabse Zyaada Ehem, Ke Hume Kya Karna Chahiye Jab Hum Aise Ehsaas Pe Pohochte Hai.

Allah Ne Nabiyo Aur Paigambaro Ko Sabooto Ke Saath Bheja Sadiyo Tak, Taake Log Apne Aankho Se Saaf-Saaf Dekhe Aur Apni Aqal Istemaal Karte Hue In Nishaaniyo Aur Sabooto Ko Samjhe Jo Ke Ishwar Ke Astitva Hone Ki Ore Ishaara Karte Hain.

Allah Ke Nabiyo Aur Paigambaro Ke Chamatkaar Logo Ko Sadiyo Tak Aate Rahein. Musa (Salaamatein Ho Un Par) Ne Bani Israel (Israel Ke Logo) Ko Bohot Se Chamatkaar Dikhaaye The. Plague, Tiddiya, Paani Ka Khoon Mein Badalna, Unki Chhadi Saanp Mein Badalna, Jalte Hue Jhaad Se Awaaz Aur Red Sea Ka Do Hisse Mein Hona, Yeh Sab Musa (Salaamatein Ho Un Par) Ke Logo Ke Liye Saaf Nishaaniya Hain.

Phir, Allah Ne Yeshu, Mary (Salaamatein Ho Un Par) Ke Bete, Ko Bheja Saaf Nishaaniyo Ke Saath Unke Waqt Ke Logo Ke Liye. Unka Pehla Chatamkaar Yeh Tha Ke Woh Jab Ek Navajaat Shishu Tab Unhone Logo Se Baat Ki Thi. Pakshiyo Ko Mitti Se Banaana, Bimaaro Ka Ilaaj Karna, Andhe Insaan Ki Aankho Ki Roshni Lautana Aur Yahan Tak Ke Ek Mare Hue Insaan Ko Zinda Karna, Yeh Sab Saaf Nishaaniya The Yeshu (Salaamatein Ho Un Par) Ke Logo Ke Liye, Taake Unhe Pata Chale Ke Woh Allah Ke Paigambar The Musa Ki Tarah.

Muhammad (Rehmatein Aur Salaamatein Ho Un Par), Allah Ke Aakhri Nabi Aur Paigambar The Jo Ke Pure Maanavjaati Ke Liye Bheje Gaye The. Allah Ne Unko Bohot Si Nishaaniyo Ke Saath Bheja Tha, Jin Mein Se Sab Se Ucch Quran Hai. Muhammad ﷺ Ki Bhavishyavaani Aaj Ki Sadi Tak Bhi Sahi Saabit Hue Hai Aur Yahan Tak Ke Scientists Ko Bhi Allah Ke Astitva Ke Baare Mein Convince Karne Ke Liye Quran Ka Istemaal Kiya Jata Hai.

Quran Sab Se Behtareen Saboot Hai Allah Ka Astitva Bataane Ka Aur Aaj Tak, 1 Billion Se Zyaada Log Quran Ko Yaad Karte Hai Aur Padhte Hai Wahi Paath Se, Usi Bhaasha Mein Jis Mein Woh Utra Tha; Arabic. 10 Million Se Zyaada Logo Ne Quran Ko Poori Tarah Se Yaad Kiya Hai, Aur Woh Apni Yaad-daash Se Padh Sakte Hai Bagair Quran Mein Dekhe.

Humare Dainik Jeevan Mein Ishwar Ke Astitva Ka Pramaan

Koi Bhi Allah Ko Dekh Nahi Sakta Aur Naahi Sun Sakta Hai, Yahan Tak Ke Nabi Muhammad ﷺ Bhi Nahi. Naahi Hum Apne Senses Ka Kuch Istemaal Karke Unse Contact Kar Sakte Hain. Magar, Islam Mein Hume Encourage Kiya Jata Hai Ke Hum Humare Hosho-Awaaaz Aur Common Sense Ka Istemaal Karein Yeh Pehchaanne Ke Liye Ke Yeh Poori Kaaynaat Apne Aap Se Astitva Mein Nahi Aaya. Kisi Ne Ise Design Aur Banaya Hai, Aur Ise Kaam Par Lagaya Hai. Yeh Hum Khud Kare, Humari Kshamta Ke Bahaar Hai, Magar Ise Hum Samajh Sakte Hain.

Hume Muhammad ﷺ Ke Shikshao Se Pata Chalta Hai Ke Ishwar (Allah) Ke Hone Ka Saboot Hume Humare Rozaana Ki Aas-Paas Ki Cheezo Se Milta Hai. Koi Bhi Samajh Ke Saath Jaldi Se Yeh Unke (Ishwar Ke) Astitva Ko Maan Lega, Basharte Ke Woh Aisa Shaks Na Ho Jo Bohot Ziddi Hai Aur Saamne Dikhte Spasht Sabooto Ko Nazar Andaaz Karein.

Hume Ek Artist Ko Dekhne Ki Zaroorat Nahi Hai Ek Painting Ko Pehchaanne Ke Liye, Hai Na? Toh Jab Hum Paintings Ko Baghair Artist Ko Dekhe Dekh Sakte Hai, Toh Theek Ishi Tarah, Hum Yeh Maan Sakte Hai Ke Allah Ne Sab Kuch Banaya Baghair Unhe Dekhe (Ya Chhu Kari, Ya Sun Kar)

Aur Lekh Load Karein
Comments Bund Hain.

Yeh Bhi Dekhe

Kya Islam Anya Logo Ke Dharm Vishwaaso Se Sehensheelta Sikhata Hai?

Islam Dharm Ko Aksar Nafrat Aur Abaadhit Hinsa Me Chitrit Kiya Jata Hai. Ke Yeh Dusre Dhar…