Home Sawaal Pavitra Quran Kya Paigambar Muhammad Ne Quran Likha?

Kya Paigambar Muhammad Ne Quran Likha?

muhammad-Quran-likha

Hum Aapko Aamantrit Karte Hai Ke Aap Sacchai Ko Jaane Aur Khud Dekhe Ke Waqai Mein Paigambar Muhammad Ne Quran Ko Likha Hai Ya Nahi

Nahi. Muhammad, Salaamatein Ho Un Par, Ne Quran Nahi Likha. Woh Aisa Nahi Kar Sakte The, Kyun Ke Woh Padhna Likhna Nahi Jaante The. Aur Bohot Saare Log Hai Jo Is Haqeeqat Ki Gawaahi Dete Hain.

Kisi Bhi Insan Ne “Khud Se” Quran Nahi Likha. Ishwar (Allah) Ne Farishte Jibreel Ke Dwara Quran Ko Muhammad ﷺ Par Utaara. Fir Unhone Quran Ko Zabaani Yaad Karke Apne Saathiyon Ko Bhi Yaad Karwaya Aur Sikhaaya.

Quran Ko Pehli Martaba Kisne Padha?

Arabi Mein “Quran” Ka Asli Matlab Hai “Padhna” (Bole Jaane Wale Shabdh). Hum Bole Hue Shabdh Kaise Likhte Hain? Asal Mein Hum Wahi Likhte Hai Jo Hum Sunnte Hai Aur Use Kalam Aur Syaahi Se Kaagaz Par Utaarte Hai. Logo Ne Quran Waise Hi Likha Jaise Muhammad ﷺ Ne Unko Sunaaya. Unka Vaastavik Swar, Pitch Aur Awaaz Ko Nahi Likh Sakte.

Quran Jo Hamaare Paas Likhi Hui Kitaab Ki Shakal Mein Hai, Use “Granth” (Arabi Mein ‘Mus-Haf’) Bhi Kehte Hain, Halanke Humare Liye To Woh Quran Hi Hai. To Jo Hum Sunnte Hain Woh Kitaab Ki Shakal Mein Likhna Mumkin Hai, Lekin Muhammad ﷺ Khud In Shabdhon Ko Soch Kar Quran Ka Nirmaan Ya Aavishkaar Nahi Kar Sakte The. Yeh Namumkin Tha Kyun Ke Woh Ashikshith The, Aur Padhna Likhna Nahi Jaante The.

Toh, Sahi Sawaal Hoga Ke Yeh Poochein

“Theek Hai, Fir Quran Ko Pehli Baar Kis Ne Sunaaya?”

Is Sawaal Ka Jawaab Dena Asaan Hai.

Quran Ke Shikshaon Ke Mutabiq, Allah Ne Farishte Jibreel Ke Dwara Quran Ko Seedha Muhammad ﷺ Par Aahista Aahista Utaara, Thoda Thoda Kar Kar, Kabhi Kam Kabhi Zyaada Hissa. Quran Is Tarah 23 Saal Ke Muddat Mein Utaara Gaya.

Quran Ka Jamaa Karna Aur Uske Ayaaton Ki Tarteeb Ko Muhammad ﷺ Ne Bilkul Nahi Badlaa. Jab Bhi Quran Ka Agla Hissa Naazil Hota, Allah Ke Farishte Jibreel, Paigambar Muhammad ﷺ Ko Bataate Ke Kaunsi Ayat Kahan Ayegi.

Agar Muhammad ﷺ Ko Likhna Padhna Nahi Aata Tha, Toh Phir Unke Saathiyon Ko (Bible Ki Tarah) Quran Likhne Ki Zaroorat Hui Hogi – Hai Na?

Nahi! Halanki Unhone Likha, Lekin Quran Ko Mehfooz Rakhne Ke Liye, Unko Likhne Ki Zaroorat Nahi Thi, Usko Sunnte Hi Woh Zabaani Yaad Kar Lete The.

Iske Alawa Nabi Muhammad ﷺ Ne Unhein Quran Ko Likhne Bhi Kahaa. Unn Mein Se Kuch Logo Ne Use Jaanwaron Ki Khaal Par Likha, Kuch Ne Bade Pattharon Ya Patto Pe Likha. Toh Unhone Ne Bilkul Likha, Wahi Likha Jo Unhone Suna Aur Jo Quran Ko Unhone Likha, Wohi Aaj Likhit Roop Mein Quran Maujood Hai. Un Sab Ne Khud Quran Ko Zubaani Yaad Kiya Aur Aage Bhi Aise Hi Yaad Karwaaya. Aaj Bhi Yehi Tareeqe Se Musalmaan Quran Ko Yaad Karke Aage Yaad Karwaaya Jaata Hai.

Kya Woh Log Quran Ki Kisi Bhi Ayat Ko Badal Sakte The Ya Aur Kuch Us Mein Jod Ya Nikaal Sakte The Ya Galat Malab Nikaal Sakte The?

Nahi! Allah Ne Quran Mein Farmaaya, Agar Aap Ko Shak Hai… “To Aap Quran Ki Jaisi Ek Kitaab Likhkar Dikhao”

Toh, Hum Dekhte Hain Ke Yeh Ek Kitaab Hai. Lekin Yeh Baaki Kitaabon Ki Tarah Kisi Insaan Ne Nahi Likha Na Hi Sochke Banaaya, Aur Yehi Sabse Aham Baat Hai.

Ab Yeh Mauqa Hai Aapka Is Dawe Ko Jaanchne Ka Kyu Ki Quran Khud Apne Sacch Hone KaYeh Dawa Karta Hai Ke:

“Yeh Woh Kitaab Hai Jisme Koi Shak Nahi” [Pavitra Quran 2:2]

“Kya Yeh Log Quran Par Gaur Fikar Nahi Karte? Agar Yeh Quran Allah Ke Siwa Kisi Aur Ki Taraf Se Hota To Yaqeenan Isme Bohot Saari Galtiyan Hoti” [Pavitra Quran 4:82]

“Agar Aapko Koi Shak Hai Is Baat Par Jo Humne Humare Bande (Muhammad) Par Utara Hai (Yaani Quran), To Aap Uske Jaisi Ek Surah Lekar Aao.” [Pavitra Quran 2:23]

Aaj Tak, Koi Bhi Quran Khoobsoorti, Andaaz, Arth Aur Bhavishya-vaaniyon Ki Tarah Kuch Bhi Nahi Banaa Sakaa.

Quran Mein Paaye Jaane Wale Vaigyaanik Daleele Aur Sabooto Ke Wajeh Se Quran Aaj Ki Bauddhik Duniya Mein Sabse Zyaada Charchit Kitaab Hai.

Aur Lekh Load Karein
Comments Bund Hain.

Yeh Bhi Dekhe

Kya Islam Anya Logo Ke Dharm Vishwaaso Se Sehensheelta Sikhata Hai?

Islam Dharm Ko Aksar Nafrat Aur Abaadhit Hinsa Me Chitrit Kiya Jata Hai. Ke Yeh Dusre Dhar…