Islam Daya Aur Insaaf Ka Dharm Hai, Ek Aisa Dharm Jo Sahi Aachaar-Vichaar Sikhata Hai Aur Bure Vichaaran Ko Mana Karta Hai, Ek Aisa Dharm Jo Insaan Ko Uski Izzat Deta Hai Agar Woh Allah Ke Niyamo Ka Paalan Karta Hai.
Is Baat Mein Koi Shak Nahi Hai Ke Islam Buzurgo Ko Ek Khaas Maqaam Deta Hai, Kyunke Aise Ibaarat Hai Jo Musalmaano Ko Unlog Ka Sammaan Aur Izzat Karne Ka Kehte Hai.
Islam Mein Manushya Ko Ek Sammaanjanak Darja Prapt Hai
Allah Farmate Hai, “Yaqeenan Humne Adam Ki Aulaad Ko Badi Izzat Di Aur Inhe Khushki Aur Tari Ki Sawaariya Di Aur Inhe Pakeeza Cheezo Ki Rozi Di Aur Apni Bohot Si Makhlooq Par Inhe Fazeelat Ataa Farmayi.” [Pavitra Quran 17:70]
Toh Buzurg Log, Jo Ke Adam Ke Baccho Mein Se Hai, Is Bade Maqaam Mein Shaamil Hai, Is Ayat Ke Aam Matlab Ke Anusaar.
Muslim Samaaj Ek Aapasee Sahaanbhuti Aur Ekjut Rehne Wala Samaaj Hai.
Allah Pavitra Quran Mein Farmate Hai:
“Phir Unlogo Mein Se Hojata Jo Imaan Laate Aur Ek Doosre Ko Sabr Ki Aur Rehem Karne Ki Wasiyat Karte Hain. Yahi Log Hai Daaye Baazu Wale (Jannat Mein Rehne Waale)” [Pavitra Quran 90:17-18]
Nabi Muhammad (Rehmatein Aur Salaamatein Ho Aap Par) Ne Momino Ko Ek Jism Ek Jism Ke Taur Par Bayaan Kiye Hai. Unhone (Rehmatein Aur Salaamatein Ho Aap Par) Farmaya:
“Imaan Wale Ki Misaal Aapas Mein Pyaar, Daya Aur Karuna Ke Maamle Mein Aisi Hai Jaise Ke Humara Badan Hai. Agar Ek Hisse Ko Takleef Hoti Hai To Dusre Hisse Bhi Uske Saath Jaagte Hai Aur Bukhaar Mein Tadapte Hain.” [Muslim]
Nabi Ne Yeh Bhi Farmaya Hai:
“Tumme Se Koi Tab Tak Saccha Imaan Wala Nahi Ho Sakta Hai Jab Tak Woh Apne Bhai Ke Liye Wahi Soche Jo Woh Apne Liye Sochta Hai” [Al-Bukhari]
Unhone Yeh Bhi Farmaya,
“Sabse Bada Reham Karne Wala Unhi Par Reham Karta Hai Jo Dusro Par Reham Karte Hain. Tum Zameen Walo Par Reham Karo Woh Jo Aasmaan Mein Hain Tum Par Reham Karega” [At-Trimidhi]
Ek Musalmaan Ko Apne Bhai Ke Liye Hamesha Mawjood Rehna Chahiye
Paigambar Muhammad ﷺ Ne Farmaya,
“Allah Ko Sabse Zyada Woh Log Pasand Hai Jo Dusre Ke Sabse Zyada Kaam Aate Hain. Aur Allah Ko Sabse Zyada Pasad Aane Wala Amal Yeh Hai Ke Ek Musalmaan Ko Kush Rakha Jaye, Ya Usko Musibat Se Nikala Jaaye Ya Uska Karz Ada Kar Diya Jaaye, Ya Uski Bhook Mitai Jaaye..” [Tabarani]
Allah Ke Nazdeek Un Buzurgo Ka Bada Darja Hai Jo Usme Imaan Rakhte Hain.
Paigambar Muhammad ﷺ Ne Farmaya, “Aap Mein Se Koi Bhi Maut Aane Se Pehle Maut Ke Liye Dua Na Kare. Kyu Ki Jab Aap Ki Maut Ho Jaati Hai Tab Aapke Saare Acche Kaam Band Ho Jaate Hain Aur Ek Imaanwale Ki Umar Sirf Acchai Se Hi Badhti Hain” [Muslim]
Ek Musalmaan Ko Badho Ka Aadar Aur Sammaan Karna Chahiye
Paigambar Muhammad ﷺ Ne Farmaya, “Allah Ki Prashansa Karne Ka Ek Hissa Yeh Hai Ke Aap Safed Baalwalo Ka Sammaan Karein” [Abu Dawud]
Mata-Pita Ki Khidmat Karna
Islam Saare Musalamaano Ko Badho Ka Aadar Aur Sammaan Karne Ka Mahatva Deta Hai, Baccho Par Ek Khaas Kisam Ki Zimmedaari Hoti Hai Apne Mata-Pita Ke Ore.
Quran Mein Kaha Gaya Hai:
“Aur Tera Parwardigaar Saaf Saaf Hukm De Chuka Hai Ke Tum Uske Siwa Kisi Aur Ki Ibaadat Na Karna Aur Maa Baap Ke Saath Ehsaan Karna. Agar Teri Mawjoodgi Mein Un Mein Se Ek Ya Dono Budhaape Ko Pohoch Jaye Toh Unke Aage “Uff” Tak Na Kehna, Na Unhe Daant Dapat Karna Balke Unke Saath Adab Wa Ihteraam Se Baat Cheet Karna. Aur Aajzi Aur Mohabbat Ke Saath Unke Saamne Tawadu’ Ka Baazo Past Rakhe Rakhna Aur Dua Karte Rehna Ke Aye Mere Parwardigaar Un Par Waisa Hi Reham Kar Jaisa Unhone Mere Bachpan Mein Meri Parwarish Ki Hai.” [Pavitra Quran 17:23-24]
In Ayato Mein, Mata-Pita Ki Nawaazi Ka Bayaan Ek Ishwar Mein Vishwaas Ke Saath Kiya Gaya Hai. Yeh Do Ayatein Daya, Ehtaraam Aur Zimmedari Ka Ehsas Bataati Hai Mata-Pita Ki Ore Jo Islam Apne Samarthako Se Aavashyakta Rakhta Hai.
“Ek Shaks Paigambar Muhammad ﷺ Ke Paas Aaya Aur Usne Kaha, “Aye Allah Ke Rasool! Tamaam Logo Mein Se Kaun Hai Jo Mere Acche Sulook Ka Haqqdaar Hain? Paigambar Ne Kaha: Tumhari Maa, Us Shaks Ne Phir Poocha, ‘Uske Baad?’ Paigambar Ne Kaha: Tumhari Maa, Us Shaks Ne Phir Se Poocha, ‘Uske Baad?’ Paigambar Ne Kaha: Tumhari Maa, Us Shaks Ne Phir Poocha, ‘Uske Baad?’ Paigambar Ne Kaha: Tumhara Baap” [Bukhari Aur Muslim]
Paigambar Muhammad ﷺ Ne Yeh Batla Diya Hai Ke Maa Baap Ka Yeh Haqq Hai Ke Unki Aulaad Unki Baat Sune. Paigambar Muhammad Ne Kaha Ke Sabse Bada Gunah Yeh Hai Ke Allah Ke Saath Kisi Ko Uska Saajhidaar Banaye, Maa Baap Ki Nafarmani Karein, Kiska Qatl Karein Aur Jhooti Gawahi De.” [Bukhari Aur Muslim]
Ek Baar Jab Bacche Independent Hojate Hain, Islam Unhe Zimmedar Hone Ki Aur Un Par Unke Mata-Pita Ki Dekh-Bhaal Karna Laazmi Bana Deta Hai.
Mata-Pita Ka Aadar Unke Guzar Jaane Ke Baad Bhi Jaari Rehta Hai
Abdullah Ibn `Umar Farmate Hai Ke Ek Baar Ek Baddu Unse Makkah (Saudi Arabia) Ke Raaste Mein Mila. `Abdullah Ibn `Umar Ne Use Salaam Kiya, Use Apne Gadhe Par Sawaari Karai, Use Apne Sar Se Pagdi Nikaal Kar Pehnai. Ibn Dinar Ne Kaha: Humne (Abdullah Se) Kaha, “Allah Aapko Hidayat De. Woh To Sirf Ek Baddu Hai. Woh Aam Cheezo Mein Hi Khush Hote Hain”. Abdullah Ne Kaha, “Is Shaks Ka Pita Mere Pita, `Umar Ibn Al-Khattab Ka Dost Tha Aur Maine Paigambar Muhammad ﷺ Se Suna Tha Ke Unhone Kaha, ‘Sabse Acche Tariqa Apne Ko Izzat Dena Ka Yeh Hai Ke Tum Unke Dosto Se Talluq Banaye Rakho.”
Yeh Ek Qism Ki Khidmat Kehlaati Hai Islam Mein. Jab Muslim Samaaj Ke Log Apne Mata-Pita Ke Dosto Se Milte Hain, Woh Buzurgo Ko Samaaj Mein Shaamil Karne Ki Koshish Karte Hain Aur Unki Tanhaaiyo Ko Khatam Karte Hain, Jo Unn Par Samaajik Aur Zehni Asar Kam Karti Hain.
Izzat- Ek Bunyaadi Haq
Buzurgo Ke Saath Daya Aur Sammaan Islami Aacharan Ka Ek Ehem Tattva Hai. Islam Ke Nabi Muhammad ﷺ Ne Saaf Bayaan Kiya Hai:
“Woh Humme Se Nahi Hai Jo Chhoto Par Narmi Nahi Karta Aur Buzurgo Ka Aadar Nahi Karta” [Tirmidhi]
Is Zindagi Ke Cycle Mein, Jawaani Aur Buddhaapa Keval Sirf Samay Ki Baat Hai, Jo Jawaan Hai, Woh Zaroor Buddhaa Hoga. Islam Nawjawaano Ko Yeh Bunyaadi Sacchaayi Ke Baare Mein Yaad Dilata Hai Nabi Muhammad ﷺ Ke Hadees Dwaara Jisme Unhone Farmaya:
“Agar Ek Naujawaan Kisi Buzurg Ki Izzat Karta Hai Unke Umar Ki Wajah Se, To Allah Uske Liye Uske Budhape Mein Kisi Ko Rakhega Uski Izzat Karne Ke Liye” [At-Tirmidhi]
Hum Dua Karte Hai Ke Ishwar Hum Sab Ki Madad Kare Humare Buzurgo Ke Prati Apne Kartavya Ko Poora Karne Ke Liye, Unko Pyar Aur Ihteram Karne Mein, Waise Jaise Unhe Pyar Aur Ihteram Karna Chahiye, Aur Apne Baccho Ke Liye Ek Acchi Misaal Kayam Karne Mein.