Kya Aap Ne Eid Ke Badhaai Ke Paigamaat Dekhe Ya Sune Hain Aur Socha Ki Yeh Tyohaar Kya Hota Hai? Is Ka Kya Matlab Hai? Eid Kab Aur Kyun Manai Jati Hai? Musalmaan Eid Kaise Manate Hain? Eid Ki Khubsoorti Ka Pata Chalte Hi Aapke Sawalon Ka Jawaab Jald Hi Mil Jayega.
Eid Kya Hai ?
“Eid” Ke Shabd Ka Matlab Tyohaar Ya Daawat Hai. Iska Shaabdik Arth Uske Liye Aata Hai Jo Tyohaar Manaya Ja Raha Hai. Islam Mein Musalmaan Har Saal Do Badhi Kism Ki Ibaadat Ke Baad Do Prakar Ki Eid Manate Hain. Pehle Ko “Eid Ul Fitr” Kaha Jata Hai Jis Ka Matlab Hai “Roza Khatm Karne Wala Tyohaar” (Ramzan Al Mubarak Ke Pooore Mahine Ke Roze Rakhne Ke Baad Manaya Jaane Wala Tyohaar). Dusri Eid, Jise “Eid-Ul-Azha” ke Naam Se Jana Jata Hai, Is Ka Matlab Hai “Qurbani Ka Tyohaar” Aur Yeh Har Saal Hajj Ke Fauran Baad Manaya Jata Hai. Har Musalmaan Ke Liye Eid Ek Utsav, Ek Sath Rehne, Hasne Aur Aapas Me Mil Batkar Rehne Ka Samay Hota Hai. Is Waqt Ka Log Har Saal Intezaar Karte Hain.
Eid Ul Fitr
Ramzan Al Mubarak Ke Doran Musalmaan Apne Aap Ko Paak Karne Aur Ishwar Se Qareeb Hone Ke Liye Roza Rakhte Hain. Ramzan Nivartan Ki Tarha Hai; Humari Saari Dunyavi Pareshaniyon Ko Ek Taraf Rakhkar Aur Ruhaniyat Par Dhyaan Dene Ka Ek Waqt Hai Aur Jis Ne Humein Zindagi Bakhshi Aur Humein Jo Saari Niyamatein Deta Hai Is Ke Sath Apne Connection Ko Behtar Banane Ka Samay Hai. Zyada Se Zyada 30 Din Ki Lambe Aadhyaatmik Nivartan (spiritual retreat) Se Guzarne Ke Baad, Ye Baat Wazeh Hai Ke Is Mahine Ke Ant Ko Manane Ke Liye Tyohaar/Eid Manai Jaye. Yahi Eid Ul Fitr Hai.
Eid Ul Adha
Hajj Makkah Ki Teerth-Yatra Hai Jo Lakho Musalmaan Ek Saath Mein Ek Baar Ek Waqt Par Karte Hain. Eid Ul Adha Ke Zariye, Paigambar Ibrahim Jo Khuda Ke Liye Qurbani Karne Ko Tayyar The Aur Khuda Ne In Par Jo Reham Kiya Tha Woh Manaya Jata Hai Aur Isse Zaahir Hota Hai. Musalmaan Ek Bhed Ki Qurbani Dekar Yeh Din Manate Hain Aur Ise Na Keval Parivaar Aur Doston Ke Saath Baatte Hain, Balki Gareebon Mein Bhi Baatte Hain.
Eid Kab Manai Jati Hai?
Eid Ul Fitr Ka Jashn Teen Din Taq Jaari Rehta Hai, Jo Naye Chaand Ke Dekhne Ke Sath Hi Shuru Hota Hai, Jo Islami Mahina – Ramzan Ke Ant Aur Agle Mahine Ke Shuruwaat Ki Nishani Hai.
Doosri Taraf Eid Ul Adha Ka Jashn Chaar Din Taq Jaari Rehta Hai, Jo Hajj Khatam Hone Ke Agle Din Shuru Hota Hai.
Eid Ki Badhaai
Musalmaan Ek Dusre Ko “Eid Mubarak” Kehkar Mubarakbaad Dete Hain Jiska Matlab Hai “Allah Ki Khusnoodi Se Bhari Eid Ho/Aapki Eid Dhanya Ho”.
Eid Ki Namaz
Musalmaan Eid Ki Shuruwaat, Eid Ki Namaaz Ke Saath Karte Hai Jo Samuhik Taur Par Padhi Jati Hai, Kabhi Kabhi Masjid Mei, Lekin Aam Taur Par Khuli Jageh Par Jaise Bada Maidaan, Ya Park. Eid Ki Namaaz Ke Liye Jaane Se Pehle, Iski Hosla Afzai Ki Jaati Hai Ki Ghusl (Snaan) Karein Aur Sabse Behtareen Kapde Pehne Aur Jashan Manane Ke Liye Bawakaar Nazar Aaye. Eid Ki Namaaz Ko Jaate Hue Raste Mein Musalmaan Arabi Mein Yeh Padhte Hai.
“Allah Bada Hai. Allah Bada Hai. Allah Bada Hai. Uske Siwa Koi Ibaadat Ke Layak Nahi. Allah Bada Hai. Allah Bada Hai. Tamaam Tareefein Usi Ke Liye Hain.
Ruhani Kamyabi Ka Jashn Manayein
Eid Ki Namaaz Ke Baad, Log Apne Ghar Walon Aur Doston Ke Sath Daawat Ke Liye Ikattha Hote Hain Jahan Inhe Mukhtalif Qisam Ke Pakwanon Ka Zayka Chakhne Ko Milta Hain. Yahan Taq Ke Kuch Apne Vistaarit Parivaaron / Rishtedaron Ke Saath Jashn Manane Ke Liye Apne Aabadi Shehron Ya Gharelu Deshon Ka Safar Karte Hain Aur Rishtedaari Ke Bandhan Ko Phir Se Zinda Karte Hain. Eid Ke Dauran Tohfe Dene Ki Ek Parampara Hai. Misaal Ke Taur Par, Hindustaan Mein, Bachchon Ko Naye Kapde Aur Joote Tohfe Mein Dene Ka Rivaaj Hai. Kabhi Kabhi, Bachon Ko Paise Milte Hain Jisse Woh Mithaiyan Aur Snacks Khareedte Hain Taki Apne Doston Aur Chachare Bhai Behen Ke Sath Anand Lekar Khaye. Pachchimi Deshon Mein, Bachchon Ko Paise Ki Bajaye Tohfe Milte Hain Aur Mata Pita Apne Gharon Ko Sajaate Hain Taki Parivaar Ke Liye Utsah Ka Mahol Bana Sake. Eid Ka Matlab Ruhani Fareeza Ki Takmeel Ko Manana Hai, Aur Is Ke Sath Yeh Apne Parivaar, Doston Aur Biradriwalon Ke Sath Taluqaat Barkarar Rakhne, Gale Milne Aur Hasne Ka Waqt Hai.
Dawat Ka Nimantran
Har Musalmaan Ke Liye Eid Muhabbat, Aman Aur Dosti Ka Izhaar Karne Ka Aur Baatne Ka Waqt Hai. Duniya Bhar Mein Musalmaan Jab Eid Ke Programme Aur Raat Mein Khaane Ka Ayojan Karte Hain To Humare Gair Musalmaan Padosiyon Aur Doston Ko Amantrit Karte Hain. Kyun Na Apne Musalmaan Padosi Ya Saathi Ke Saath Agli Khubsoorat Eid Manane Mein Shaamil Ho? Kya Yeh Janna Dilchasp Nahi Hoga Ki Yeh Kaisa Lagta Hai?