Islam Kya Hai?
Aatmasamarpan
“Beshak, Allah Ke Nazdeek Dharm Islam Hi Hai” [Pavitra Quran 3:19]
Ise Pavitra Quran Ki Ek Ayat Se Samjha Jaata Hai Jaha Allah Kehte Hai:
“Jo Shaks Islam Ke Siwa Kisi Aur Dharm Ki Khwahish Karein Toh Uska Wah Dharm Qabool Hi Nahi Kiya Jaayga Aur Woh Aakhirat (Parlok Ki Zindagi) Mein Ghate Mein Rahega” [Pavitra Quran 3:85]
Is Aatmasamarpan Ke Liye Zaroori Hai Ke Ek Shaks Puri Tarah Se Jagruk Rahein Aur Apni Iccha Se Apne Aap Ko Ek Parmeshwar Ko Saupe.
Saupna
“Qasam Hain Tere Parwardigaar Ki Woh Momin (Imaanwala) Ho Hi Nahi Sakta Jab Tak Ke Woh Apne Aapsi Jhagado Mein Aapko [Muhammad Paigambar Ko] Nayayadheesh (Judge) Na Banaale Phir Jo Faisla Aap Unme Kardein Unke Dilo Mein Kisi Tarah Ki Tangi Aur Nakhushi Na Paaye Balke Khushi Se Apna Le” [Pavitra Quran 4:65]
Aatmasamarpan Ke Baad Puri Tarah Saup Dena Yeh Zaroori Hain. Aur Musalmaan Ko Chahiye Ke Allah Ki Rakhi Huyi Sharto Ko Maane . Faisle Ke Baad Usme Apni Raay Rakhna Saheeh Nahi, Jaise Allah Ek Dusri Ayat Mein Kehte Hai;
“Kisi Momin Mard Ya Momin Aurat Ke Liye Yeh Saheeh Nahi Hai Ke Allah Aur Uske Paigambar Ka Faisla Aane Ke Baad Woh Usme Apni Koi Raaye Rakhe” [Pavitra Quran 33:36]
Ek Imaamwale Mard Aur Aurat Ke Liye Yeh Zaroori Hai Ke Jo Kuch Allah Aur Uske Paigambar Ne Islam Ka Hissa Bataya Hain Woh Us Cheez Par Puri Tarah Maane. Ek Shaks Ko Chahiye Ke Woh Hoshohawaaz Mein Aur Imaandari Ke Saath Khud Ko Allah Ki Khidmat Mein Pesh Karein.
Aagyaa Paalan
“Aur Allah Aur Uske Paigambar Ki Aagyaa Ka Paalan Karo” [Pavitra Quran 3:132]
“Aye Imaanwaalo! Allah Ki Aagyaa Ka Paalan Karo Aur Uske Rasool (Paigambar) Ki Aagyaa Ka Paalan Karo Aur Tumme Se Ikhtiyaar Walo Ki. Phir Agar Kisi Baat Par Tumhara Matbhed Ho, Toh Laut Aao Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf Agar Tum Khuda Aur Aakhirat Ke Din Par Imaan Rakhte Ho. Yahi Tumhare Haq Mein Behtar Hain Aur Anjaam Ke Itebaar Se Accha Hain” [Pavitra Quran 4:59]
“Jisne Rasool Ki Aagyaa Ka Paalan Ki Usne Allah Ki Aagyaa Ka Paalan Kiya, Aur Jo Mooh Pher Le Toh Humne Aap Ko Unpar Kuch Nigehbaan Bana Kar Nahi Bheja” [Pavitra Quran 4:80]
Iska Matlab Hai Woh Karna Jo Kuch Allah Ne Hukm Diya (Quran Mein) Aur Jo Kuch Uske Paigambar, Muhammad (rehmatein aur salaamatein ho aap par) Ne Hume Karne Ke Liye Kaha Jo Sunnat Mein Hain (Sunnat – Paigambar Ka Lifestyle, Unki Baatein Aur Unka Quran Ka Samjhana)
Apni Marzi Ko Allah Ke Aatmasamarpan Karne Ke Baad Aur Aatmasamarpan Ke Niyamo Ko Maanne Ke Baad Ek Musalmaan Ke Liye Yeh Zaroori Hain Ke Woh In Sare Cheezo Par Amal Karein. Yeh Uski Zimmedaari Hai Ke Woh Jitna Ho Sake Utna Allah Ke Hukm Par Chale Jo Pavitra Quran Mein Diya Gaya Hain Aur Uske Paigambar ﷺ Ke Zariye.
Niyyat Mein Imaandari Aur Pavitrata
Dil Saaf Aur Imaandaar Hona Chahiye. Allah Paak Hai Aur Paak Cheezo Ko Hi Qabool Karta Hai. Paigambar Muhammad ﷺ Ne Farmaya:
“Yaqeenan Karm Ka Badla Niyyat Ke Hisaab Se Diya Jayega. Aur Har Ek Ko Inaam Uske Niyyat Ke Mutabik Diya Jayga.”
Niyyat Mein Imaandari, Musalmaan Ki Kaamyaabi Ki Chabi Hai Ya Barbadi Ka Sabab Hai. Jo Kuch Woh Karte Hain Woh Sirf Allah Hi Ke Liye Karna Hai. Show-Off Ke Liye, Logo Ka Dhyaan Apne Taraf Karne Ke Liye Nahi Karna Hai. Agar Zara Bhi Kisi Kaam Karne Mein Ghamand Ya Show-Off Hoga Toh Kal Qayamat Ke Din Allah Us Kaam Ko Qabool Nahi Karega. Yeh Isliye Hai Ke Allah Kisi Bhi Kaam Karne Mein Imaandari Aur Niyyat Dekhta Hai.
Shaanti
“Shaanti” Ka Zikr Quran Mein 58 Baar Aya Hai Aur Yeh Ek Eham Shart Hai Is Duniya Mein Zindagi Guzar Ne Ke Liye.
“Salaam” Yani Shaanti, Yeh Allah Ke Guno Mein Se Ek Gun Hai Jo Pavitra Quran Mein Aata Hai.
“Wahi Allah Hai Jiske Ilawa Koi Ibaadat Ke Layak Nahi, Baadashah, Nihayat Paak, Sab Aybo Se Paak, Shaanti Dene Wala, Nigehbaan, Gaalib, Zoraawar, Zabardast Badhai Wala, Paak Hain Allah Un Cheezo Se Jinhe Yeh Uska Shareek Banate Hain” [Pavitra Quran 59:23]
Hum Sab Apni Zindagi Mein Kisi Na Kisi Tarah Ki Shaanti Haasil Karne Ki Koshish Karte Hain. Aur Agar Isse Pehle Ki Chaar Sharte Puri Ki Gayi Ho To Jo Allah Ki Talaash Mein Hai Use Shaanti Prapt Honi Hi Honi Hai.
Jaise Hi Ek Shaks Puri Tarah Aatmasamarpan Aur Apne Aap Ko Saupta Hai Aur Allah Ki Aagya Ka Paalan Karta Hai Puri Imaandari Ke Saath To Use Is Duniya Mein Aur Parlok Ki Duniya Mein Shaanti Haasil Hogi.
Lekin Iska Yeh Matlab Nahi Ke Unka Imtehaan Nahi Liya Jayega. Aur Yeh Jald Hi Samajh Aa Jana Chahiye. Allah Jisse Mohabbat Karta Hai Uska Imtehaan Leta Hai. Jo Is Duniya Mein Aur Parlok Ki Duniya Mein Safal Hai Uski Pariksha Li Jaygi Jaise Allah Kehte Hai:
“Kya Logo Ne Yeh Samjh Liya Hai Ke Sirf Itna Keh Dene Se Ki Hum Imaan Laye Chhod Diye Jayenge Aur Unka Imtehaan Na Liya Jayega? Unse Aglo Ko Bhi Humne Khoop Jaancha. Yaqeenan Allah Unhe Bhi Jaan Lega Jo Sacch Kehte Hain Aur Unhe Bhi Maaloom Kar Lega Jo Jhoote Hain” [Pavitra Quran 29:2-3]
Ek Baar Jab Hum Khud Ko Vinamra Karle , Apne Ahankaar Se Khud Ko Mukt Karle, Aur Puri Tarah Apne Aap Ko Sirf Aur Sirf Allah Ko Saup De Imaan Aur Amal Ke Zariye, Toh Yaqeenan Hume Apne Dilo Mein Shaanti Mehsoos Hogi. Dil Mein Shaanti Sthapit Karne Se Humari Baahri Aacharan Mein Bhi Shaanti Aayegi.