Musalmaan Ek Sacche Ishwar Mein Maante Hain
Har bhasha mein ek ya ek se adhik shabd hote hai jinka upyog Ishwar ke nirdesh mein hota hai aur kabhi – kabhi kam devtaao ke nirdesh mein bhi. ‘Allah’ shabd ke saath aisa nahi hai. Allah Ek Sacche Ishwar ka nijee naam hai. Aur Kisi Aur Ko Allah nahi kaha jaa sakta hai. Yeh shabd ka koi bahuvachan ya jaati nahi hai. Isse hume yeh shabd ki ananyataa ka pata chalta hai jab hum yeh shabd ko compare karte hai ‘devta’ shabd se jiska bahuvachan ‘devtaao’ hai ya phir stree jaati ‘devi’ se. Yeh ek bohot interesting cheez hai ke Allah Ishwar ka nijee naam hai Aramaic mein, jo Yeshu / Eesa (salaamatein ho unn par) ki bhasha hai. Allah shabd ek anokhe vichaar ka reflection hai jo Islam Ishwar se joddta hai.
Ek Musalmaan ke liye, Allah Sarvashaktimaan, Sarjak, jagat ka Nirvaah, Jo kisi ke tarah nahi aur Jiski tarah koi nahi. Nabi Muhammad (rehmatein aur salaamatein ho aap par) Ko unke logo ne Allah ke baare mein poocha. Iska uttar seedhe Ishwar ke ore se Quran ke ek chote chapter /adhyay ke roop mein aaya hai jo Allah ke Ek hone ka tattva hai ya Ek Ishwarvaad ka aadarsh vaakya hai.
“Aap keh dijiye ke Woh Allah Taala Ek (hi) hai. Allah Taala Beniyaaz hai. Na Usse koi paida hua na Woh kisi se paida Hua. Aur na koi Uska hamsar hai.” [Pavitra Quran 112:1-4]
Kuch gair musalmaan Islam par ilzaam lagate hai ke Islam mein Ishwar ka avdhaaran yeh hai ke Ishwar kroor aur kathor hai Jo chahte hai ke sab Unki poori tarah se aagya ka paalan kare. Aur yeh bhi ke Ve pyaar karne Wale aur Dayaalo nahi hai. Yeh bohot hi galat ilzaam hai aur yeh ilzaam sacchayi se bohot door hai. Itna kaafi hai yeh jaanna ke Quran ke saare Adhaay / Surah, sivaye ek ke, shuru hote hai Is Ayat Se “Shuru Allah ke naam se Jo bada Meharbaan, Sabse Rehem Karne Waala Hai”. Hume Nabi Muhammad ﷺ ke ek hadees se pata chalta hai:
“Allah Ek Maa Se Zyada Pyaar Karne Wala Aur Dayaalu Hai”
Dayaalu hone ke alava, Ishwar Niyamit bhi hai. Iss wajah se, paapiyo ke paas saza ka hissa hona chahiye aur Imandaaro ke paas inaam ka. Vaastav mein, Ishwar ki daya ki visheshta Unke nyaay karne ke gun ki poori ghoshna hai. Woh log jo saari zindagi kathinayo ko sehte hai sirf Ishwarke liye aur woh log jo doosro ki zindagi barbad karte hai – in dono kisam ke logo ke saath Ishwar ek jaisa sulook nahi karna chahiye.
Dono kisam ke logo se ek jaisa sulook umeed karna, iska parinaam yeh hoga ke hum jawabdehi ka imaan qayaamat ke din se mukar jaainge aur iska matlab hoga ke is duniya mein naitik aur sadaachaari jeevan ke liye sabhi kaarano ko nakaarna.
Islam kisi bhi maanveeya roop mein Ishwar ke charitr ko asveekar karta hai, ya phir kuch logo ko dhan, shakti ya nasl ke adhaar par tarafdari karna. Ishwar ne har Insaan ko ek doosre ke barabar banaya hai. Ve khud ko alag kar sakte hai aur Ishwar ki tarafdari haasil kar sakte hai sirf visheshta aur sheel dwara.
Ishwar Ka Saccha Tattva Samajhna
Yeh vichar ke Ishwar ne araam kiya saatve din par Dunya Banane ke baad, ya ke Ishwar ne Unke kisi sipahi se lada, ya ke Ishwar sazish karne Waale Hai maanavjati ke saath, ya ke Ishwarkisi manushya ka aavtar lete hai, yeh sab Islam ke nazariye se Toheen maana jata hai. Allah ek personal naam hai jo Ishwar mein vishvaas ki shuddhata par ka ek anokha vichaar ka reflection hai. Ek Ishwar mein vishvaas karna saare Ishwarke nabiyo ka Tattva sandesh hai. Is wajah se, Islam kisi bhi devta ya vyaktitv ko Ishwarke saath jodna ek bada paap maanta hai, jise Ishwar maaf nahi karte hai agar woh Insaan tawbah kare bagair Mar Jaata Hai.
Humare Bananewale ke Liye yeh zaroori hai ke Ve alag ho apne banaye hui cheezo se kyunke agar Ve apne banaye hue cheezo ki tarah ho toh iska yeh Matlab hoga ke Ve temporary hai aur ke Unhe khud kisi ne banaya hai. Unki tarah kuch nahi hai. Agar Humara Bananewala temporary nahi hai, toh zaroori hai ke Ve Jeevant hai.
Agar Ve Jeevant hai, toh Ve banaye huye nahi ho sakte hai, aur agar Unhe kisi ne nahi banaya hai, toh Unhe koi majboor nahi kar sakta astitva hone ke liye, jiska Matlab yeh hai ke Ve Aatma nirbhar hai. Aur agar Ve kisi par depend nahi hote hai Unke astitva ke liye, toh Unke yeh astitva ka koi ant nahi ho sakta hai. Is wajah se, Allah Sarjak Jeevant hai:
“Wahi Pehle hai aur Wahi Peeche, Wahi Zaahir hai Wahi Mukhfi hai, aur Woh har cheez ko bakhoobi jaanne Waala hai.” [Pavitra Quran 57:3]
Woh Aatma nirbhar hai, ya phir Quran ke lafzo mein kaha jaaye toh Woh Al Qayyum hai. Sarjak koi cheez ko sirf banata nahi hai, balke Unki dekh bhal karta hai aur unhe unke astitva se nikalta hai.
“Allah har cheez ka paida Karne Waala hai aur Wahi har cheez par Nigehbaan hai. Aasamano aur zameen ki kunjiyo ka Maalik Wahi hai jin jin logo ne Allah ke ayato ka inkaar kiya wahi khasara paane waale Hai.” [Pavitra Quran 39:62-63]
“Zameen par chalne-phirne waale jitne jaandar hai sab ke roziya Allah Taala par hai Wahi unke rehne sehne ki jagah Jaanta hai aur unke sonpe Jaane ki jagah ko bhi, sab kuch saaf kitab mein mojood hai.” [Pavitra Quran 11:6]
Ishwar Ke Gunn
Agar Ishwar Humesha Ke Liye Jeevant hai, toh yeh zaroori hai ke Unke Gunn bhi Humesha Ke Liye Jeevant hai. Woh koi apne Gunn nahi kho sakte aur na hi koi naye gun haasil kar sakte hai. Agar Unke Gunn bhi Jeevant hai, toh iska matlab hai ke Ve Gunn mukammal hain. Kya Ek se adhik aisa Humara Bananewala ho sakta hai jinke gunn iss tarah se mukammal hote hain? Udahran ke taur pe, kya do aise Bananewale ho sakte hain kya? Vichaar karne par pata chalta hai ke yeh sambhav nahi hai. Quran yeh bahas ko chand alfazo Meini in ayato mein batata hai:
“Na toh Allah ne kisi ko beta banaya aur na Uske saath aur koi Ishwarhai, warna har Ishwarapne makhlooq (jagat) liye liye phirta aur har ek doosre par chadh dodta – jo awsaaf ya batlate hain inn se Allah Paak aur (Beynayaaz) hai.” [Pavitra Quran 23:91]
“Ishwar Ki Ekta”
Quran hume devtao ke jhoot ke bare mein batata hai. Woh saare Insaan ke banayi huyi cheezo ki ibadat karne waalo se poochta:
“Toh Aap ne farmaya tum Inhe boojte ho jinhe (khud) tum taraashte ho. Haala na ke tumhe aur tumhari banayi huyi cheezo Ko Allah ne hi paida kiya hai.” [Pavitra Quran 37:95-96]
“Kya tum phir bhi Uske siva auro ko himayati bana rahe ho jo khud apne Jaan ke bhi bhale bure ka ikhtiyaar nahi rakhte hai.” [Pavitra Quran 13:16]
Jo log aasmani cheezo ki ibadat karte hai, unke liye Quran Nabi Ibrahim ki kahani batata hai:
“Phir jab raat ki taariki unn par cha gayi toh in hone ek sitara dekha Aap ne farmaya ke yeh mera Rab hai magar jab woh doob gaya toh Aap ne farmaya ke mein doobne waalo se mohabbat nahi rakhta. Phir jab chand ko dekha chamakta hua toh farmaya ke yah Mera Rab hai magar jab woh doob gaya toh Aap ne farmaya agar mujhko mere Rab ne hidayat na ki toh mein gumrah logo mein shamil ho jaonga. Phir jab suraj ko dekha chamakta hua toh farmaya ke yeh mera Rab hai yeh toh sabse bada hai phir jab woh bhi doob gaya toh Aap ne farmaya beshak main tumhare shirk se bezar hoon. Main apna rukh Uski taraf karta hoon Jisne aasamano aur zameen ko paida kiya hai yaksu hokar, aur main shirk karne waalo mein se nahi hoon.” [Pavitra Quran 6:76-79]
Ek Samarthak Ka Ravayya
Musalmaan banne ke liye zaroori hai Ishwarki Ekta mein maanna, ke sirf Wahi Ek Sarjak hai, Wahi Ek Raksha Karne Waala, Wahi Ek Badha Karne Waala, aadi. Magar yeh vishwaas Jise Tawheed ArRububiyyah kaha Jaata Hai, kaafi nahi hai. Kaafi sare moortipoojak jaante the aur maante the ke yeh sab sirf Ek hi Ishwarkar sakta hai. Tawheed ArRububiyyah haasil karne ke liye, hume zaroori hai ke hum Tawheed Al-Uluhiyyah mein maane. Tawheed Al-Uluhiyyah ka Matlab hai Ishwarakele ibadat ke haqdaar hai, aur ksis bhi anya cheez ya insan ki ibadat karne se door rehna.
Yeh jaankari jab haasil ho jaye Ek Sacche Ishwarki, manushya ko nirantar uss par vishvaas rakhna chahiye, aur saari rukawato se door rehna chahiye jo use yeh sacchayi inkar karne de. Jab iman ek insan ke dil mein aa Jaata Hai, toh yeh uske cheezo ko dekhna ka nazriya aur bartaav badal deta hai. Nabi ﷺ ne farmaya:
“Shraddha / Eemaan woh hai jo dil me acche se basa hai aur jo karmo ke zariye siddh hota hai.”
Shraddha / Eemaan ka ek hairat angez natija Ishwar ke liye Ehsaan Ka Ehsaas Hai jise Ibaadat ka nichood kaha ja sakta hai. Shukriya ka ehsaas itna eham hai ke jo bhi haqq se inkaar karta hai use Kaafir kaha jaata hai, jo nashukra hai. Momin Muhabbat karta hai aur Khuda ka shukrguzaar hai ke usne usko bohot saari cheeze di hai. Woh us haqeeqat se bakhubi wakif hai ke uske acche karam ilaahi ehsaanaat ke mutabik hone se door hai. Aur isi wajeh se woh hamesha Khuda ko raazi rakhne ke liye bechain rehta hai. Woh Aksar Khuda ko yaad karta hai. Quran, Khuda ki is visheshtao ko bar bar dohrakar is bhava ko badhava deta hai.
“Allah Taala hi Ishwarbar haq hai Jiske siva koi Ishwarnahi Jo Zinda aur sabka Thamne Waala hai Jise na ongha aaye aur na neend, Uski mulkiyat mein zameen aur aasamano ki tamaam cheeze hai – kaun hai jo Uske ijazat ke baghair Uske Saamne anunaya kar sake, Woh Jaanta hai jo unke Saamne hai aur jo unke peeche hai aur Woh Uski ilm mein se kisi cheez ka ahaat nahi kar sakte magar jitna Woh chahe, Uski Kursi ki vasaat (choddayi) ne zameen aur aasaman ko ghair rakha hai aur Allah Taala Unki hifazat se na thakta aur na uktata hai, Woh toh bohot Buland aur Bohot Bada Hai.” [Pavitra Quran 2:255]