Islam Dharm Ko Aksar Nafrat Aur Abaadhit Hinsa Me Chitrit Kiya Jata Hai. Ke Yeh Dusre Dharm Ke Prati Sehensheelta Nahi Sikhata. Donald Trump Ne Kaha Tha: “Mujhe Lagta Hai Ke Islam Hum Se Nafrat Karta Hai.” Islam Koi Shaks Nahi Hai, Lehaza Woh Nafrat Nahi Kar Sakta. Saath Hi Saath, Yeh Saaf Taur Par Nahi Bataya Gaya Hai Ke “Hum” Kaun Hai Kyunke Kuch Amreeki Musalmaan Bhi Hote Hain. Unke Kehne Ka Shayad Yeh Matlab Tha Ke Islam Musalmaano Ko Saare Gair Musalmaano (Non Muslim) Se Nafrat Karna Sikhata Hai. 1400 Saal Poorane Dharm Ke Baare Mein Jo Kuch Kaha Ja Raha Hai Use Aank Band Karke Qubool Karne Ke Bajaaye, Quran Ki Jaanch Karni Chahiye Aur Dekhna Chahiye Ke Woh Sehensheelta Ke Baare Mein Kya Sikhata Hai. Kya Islam Waqai Mein Musalmaano Ko Dusre Dharm Ke Logo Ke Saath Nafrat Karna Aur Unke Khilaaf Hinsa Karna Sikhata Hai? Kya Waqai Mein Quran Sehensheelta Nahi Sikhata?
Islam Aur Hinsa
Hinsa Humesha Se Maanav Itihaas Ka Hissa Raha Hai. Kabhi Bhi Aisa Samay Nahi Raha Hai Jab Hinsa Ka Koi Kaarya Na Hua Ho, Chahe Woh Vyaktigat Jhapad Ho Ya Yudh. Hinsa Insaan Ke Astitva Ka Hissa Hai Aur Kabhi – Kabhi Ahem Hota Hai. Bohot Saaro Ke Liye, “Hinsa” Shabd Ek Negative Arth Rakhta Hai. Halaanke, Hinsa Ke Do Qism Hote Hain; Jaayaz Aur Na-Jaayaz. Ek Qism Hoti Hai Jiski Hum Taareef Karte Hain Aur Badhaayi Dete Hain, Aur Doosri Woh Hoti Hai Jiski Hum Ninda Karte Hain Aur Jis Se Nafrat Karte Hain. Pichla Waala Humare Avshesh Ke Liye Zaroori Hai. Udahran Ke Taur Par, Hume Kisi Daaku Ya Mujrim Ko Vash Mein Karne Ke Liye Hinsa Ka Sahaara Lena Padta Hai. Yeh Maqool Nahi Hai Ke Bhaagne Waale Apaharankarta Ki Pratikriya Uska Peecha Karna Aur Bacche Ko Bachaane Ke Alava Kuch Ho. Yeh Karne Ke Liye, Jaayaz Hinsa Ki Zaroorat Hoti Hai. Apaharankarta Bhi Hinsa Istemaal Karta Hai, Lekin Na-Jaayaz Waali.
Islam Ek Aisa Dharm Nahi Hai Jo Hinsa Ko Humesha Galat Maanta Hai Aur Sirf Khaas Prakaran Mein Jaayaz Banaata Hai. Quran Aur Nabi Muhammad (Rehmatein Aur Salaamatein Ho Aap Par) Ke Shikshaaein Hume Saare Disha-Nidesh Aur Rules Bataati Hai Hinsa Ke Istemaal Ke Liye. Yeh Soochnaayein Aksar Galat Matlab Mein Liye Jaate Hain Taake Yeh Galat Baat Batayi Jaaye Ke Islam Gair Musalmaano Ke Liye Hinsak Hai. Halaki Agar Imaandari Se Aur Saheeh Se Quran Aur Paigambar Muhammad (Rehmatein Aur Salaamatein Ho Aap Par) Ke Zindagi Ka Jayza Liye Jaaye To Hume Yeh Pata Lagta Hai Ke Islam Yeh Nahi Sikhata Ke Koi Musalmaan Mehaz Kisi Ka Qatal Karein Kyu Ki Uska Dharm Alag Hai. Paigambar Muhammad (Rehmatein Aur Salaamatein Ho Aap Par) Ke Gair Musalmaan Padosi Aur Parivaar Ke Sadasya The Jinse Woh Pyaar Karte The, Unki Dekh-Bhaal Karte The Aur Unke Saath Mazboot Sambandh Rakhte The. Agar Islam Musalmaano Ko Apne Imaan/Shraddha Ke Liye Doosro Ko Maarna Sikhaata Tha, Toh Wohi Pehle Insaan Hone Chahiye The Aise Karne Ke Liye. Magar Aisa Nahi Hua. Quran Musalmaano Aur Gair Musalmaano Ke Beech Ke Sambandho Ko Spasht Karta Hai Jo Mohabbat Aur Daya Par Adhaarit Hai. Qurʾan Mein Kaha Gaya Hai:
“Jin Logo Ne Tumse Deen Ke Baare Ladaayi Nahi Ladi Aur Tumhe Tumhare Gharo Se Bahar Nahi Nikala Unke Saath Sulook Wa Ihsaan Karne Aur Munasib Bhale Bartaao Karne Se Allah Ta’ala Tumhe Nahi Rokta, Balke Allah Ta’ala Toh Insaaf Karne Waalo Se Mohabbat Karta Hai.” (Pavitra Quran: 60:8)
Yeh Ayat Saaf Bataati Hai Ke Ladaai Ki Buniyaad Dharm Nahi Hai, Lekin Un Logo Ke Khilaaf Raksha Karna Jin Par Keval Musalmaan Hone Par Hamla Hota Hai. Halaaki Islam Musalmaano Ko Un Par Hamla Karne Waalo Se Ladne Ki Ijaazat Deta Hai, Lekin Islam Apne Dushmano Ke Saath Bhi Insaaf Karna Sikhaata Hai. Yeh Sehensheelta Nahi To Phir Kya Hai?
Kya Islam Musalmaano Ko Ghair Musalmaano Se Nafrat Karna Sikhaata Hai?
Quran Ne Isai (Christians) Aur Yahoodi (Jews) Ke Khaas Maqaam Par Roshni Daali Hai Jahan Unhe Lagataar “Kitaab Ke Log” Kaha Gaya Hai. Quran Mein Kayi Ayat Hai Jahan Musalmaano Aur Gair Musalmaano Ke Beech Gehre Sambandh Ka Bayan Diya Gaya Hai.
“Aur Imaan Waalo Se Sab Se Zyaada Dosti Ke Qareeb Aap Yaqeenan Unhe Paainge Jo Apne Aap Ko Nasaara (Isai) Kehte Hai, Yeh Iss Liye Ke Unn Mein Ulamaa Aur Ibaadat Ke Liye Gosha Nasheen Afraad Paaye Jaate Hai Aur Iss Wajah Se Ke Woh Takabbur/Ghamand Nahi Karte.” (Pavitra Quran 52:8)
Iske Alava, Quran Mein Allah Ne Musalmaano Ko Ijaazat Nahi Di Ke Ve Gair Musalmaano Ke Bhagvaan Ya Moorti Ki Insult Kare. Halaanke Musalmaan In Bhagvaan Ya Moortiyo Mein Vishwaas Nahi Karte, Lekin Phir Bhi Islam Manaa Karta Hai Inki Insult Karna –
“Aur Gaali Mat Do Unko Jin Ke Yeh Log Allah Ta’ala Ko Chodkar Ibaadat Karte Hai.” (Pavitra Quran: 6:108)
Yeh Sehensheelta Nahi To Kya Hai? Iske Alava, Islam Musalmaano Ko Ijaazat Deta Hai Jews Aur Christians Ke Khaane Mein Se Khaane Ki Aur Antarjaatiya Vivaah Ki Bhi Ijaazat Deta Hai. Quran Mein Kaha Gaya Hai:
“Aur Ahl Kitaab Ka Zabeeha Tumhaare Liye Halal Hai, Aur Unka Zabeeha Tumhaare Liye Halal Hai, Aur Paak Daaman Musalmaan Aurtein Aur Jo Log Tumse Pehle Kitaab Diye Gaye Hai.” (Pavitra Quran: 5:5)
Logo Mein Yeh Aam Hai Ke Musalmaano Ko Gair Muslamaano Ko Maar Dene Ka Hukm Hai Ya Unse Nafrat Karna Sikhata Hai. Haqeeqat Isse Alag Hai. Quran Batata Hai Ke Musalmaan Doosre Dharm Waalo Ke Saath Roti Tod Sakta Hai. “Unke” Khaane Ko Khaana Aur “Woh” Aapke Khaane Ko Khaana – Iska Yeh Matlab Hai Ke Woh Ek Dusre Ke Saath Khana Share Kar Sakte Hai Ek Dusre Ko Dawat De Sakte Hai. Yeh Ek Dostaana Aur Pyaar Bhare Rishte Ki Aavashyakta Hai. Yeh Sehensheelta Nahi To Kya Hai?
Ayat Ka Aakhri Hissa Isse Bhi Zyaada Damdaar Hai, Quran Batata Hai Ke Musalmaan Ek Yahoodi Mahila Ya Christian Mahila Se Shaadi Kar Sakta Hai. Shaadi Mein Pyaar Shaamil Hota Hai, Sirf Apne Patni Ya Pati Ke Liye Nahi, Balke Unke Parivaar, Maata – Pita Aur Bhai Behno Ke Liye Bhi Shaamil Hoti Hai. Yeh Bada Illogical Hoga Kehna Ke Islam Musalmaano Ko Gair Musalmaano Ko Maarne Ke Liye Kehta Hai Aur Saath Hi Saath, Unse Shaadi Karne Ki Ijaazat Deta Hai Aur Unke Saath Khaana Share Karne Ki Bhi Ijaazat Deta Hai. Yeh Sehensheelta Nahi To Kya Hai?
Doosre Shabdo Mein, Quran Ke Aadesh Nafrat/Pyaar Aur Hinsa/Shaanti Ke Liye Musalmaan Aur Gair Musalmaano Ke Beech Ek Shaks Ke Imaan/Shraddha Ke Upar Aadharit Nahi Hota, Yeh Ispar Aadharit Hota Hai Ke Musalmaano Par Hinsapoorvik Hamla Hua Ya Atyachaar Kiya Jaa Raha Hai.
Iska Yeh Matlab Nahi Hai Ke Islam Yeh Sikhaata Hai Ke Hinsa Humesha Galat Hota Hai Kyunke Quran Mein Aisi Jaankaariya Hai Jahan Log Ladeinge Aur Sirf Dharm Ke Bunyaad Par Musalmaano Ko Unke Gharo Se Nikaal Denge. Islam Is Kism Ke Anudaarta Ko Asveekar Karta Hai Aur Musalmaano Ko Sikhaata Hai Ke Unse Sambandh Nahi Rakha Jaye Jo Log Unhe Unke Desh Se Nikaalte Hai Sirf Musalmaan Hone Ke Bunyaad Par.
“Allah Ta’ala Tumhe Sirf Un Logo Ki Mohabbat Se Rokta Hai Jinhone Tumse Deen Ke Baare Mein Ladaaiyaan Ladi Aur Tumhe Sheher Se Nikaal Diya Aur Sheher Se Nikaalne Waalo Ki Madad Ki Jo Log Aise Kuffar Se Mohabbat Kare Woh (Qita’n) Zaalim Hai.” (Pavitra Quran 60:9)
Yeh Ayat Musalmaano Ko Manaa Karti Hai Aise Logo Ke Saath Sambandh Rakhne Se, Lekin Bagair Kisi Rok-Tok Ke Nafrat Aur Hinsa Ki Ijaazat Nahi Deti. Quran Ek Amali/Practical Kitaab Hai Jo Mazlumo Ko Anyaay Se Ladne Ki Ijaazat Deta Hai, Magar Yeh Ijaazat Nahi Deta Ke Woh Anyaay Ka Jawaab Anyaay Se De. Doosre Shabdo Mein, Quran Yeh Sikhaata Hai Ke Musalmaan Nyaay Sangata Rahe Un Gair Musalmaano Ke Saath Bhi Jo Unse Nafrat Aur Ladaayi Karte Hai.
“Aye Imaan Waalo! Tum Allah Ke Khaatir Haq Kaaim Ho Jao, Raasti Aur Insaaf Ke Saath Gawaahi Dene Waale Ban Jao, Kisi Qaum Ki Adaawat Tumhe Khilaaf Adal Par Aamadah Na Kar De, Adal Kiya Karo Jo Parhezgaari Ke Zyaada Qareeb Hai, Aur Allah Ta’ala Se Darte Raho, Yaqeen Maano Ke Allah Ta’ala Tumhare Amaal Se Bakhabar Hai.” (Pavitra Quran: 5:8)
Annt
Yaqeenan Quran Mein Aise Ayaat Hai Jo Hinsa Ko Ijaazat Deti Hai, Magar Yeh Ayaat Humesha Galat Maaine Mein Istemaal Ki Jaati Hai. Ek Logical Annt Pe Pohochte Hai Hum Jab Hum Yeh Ayaat Ko Padhte Hai Ke Islam Har Qism Ke Logo Se Mohabbat Karna Sikhaata Hai, Bhale Hi Unka Imaan/Dharm Doosra Ho. Magar Islam Musalmaano Ko Manaa Karta Hai Apne Aap Ko Bechne Se, Un Gair Musalmaano Se Sambandh Rakh Kar Jo Unhe Unke Musalmaan Hone Par Desh Se Nikaal Dete Hai. Doosre Shabdo Mein, Islam Gair Musalmaano Se Ladna Nahi Sikhaata, Balke Dhaarmik Anudaarto Se Ladna Sikhaata Hai.
Quran Bataata Hai Ke Agar Log Dhaarmik Anudaarto Ke Khilaaf Na Khade, Toh Yeh Saare Ibaadat / Puja Ki Jagaho Ko Barbaad Kar Dega.
“Yeh Woh Hai Jinhe Na Haq Apne Gharo Se Nikala Gaya, Sirf Unke Iss Baat Par Ke Humara Parvardigaar Sirf Allah Hai. Agar Allah Ta’ala Logo Ko Aapas Mein Ek Doosre Se Na Hataata Rehta Toh Ibaadat Khaane Aur Garje Aur Masjidein Aur Yahoodiyo Ke Ma’bad Aur Woh Masjidein Bhi Dhaadi Jaati Jahan Allah Ka Naam Be Kasrat Liya Jata. Jo Allah Ki Madad Karega Allah Bhi Zaroor Uski Madad Karega. Beshak Allah Ta’ala Badi Quwwato Waala Bade Galbe Waala Hai.” (Pavitra Quran 22:40)
Yeh Ayat Saaf Bataati Hai Ke Islam Ki Ijaazat Hinsa Ko Doosre Dharmo Ke Liye Nahi Hai, Magar Dhaarmik Azaadi Ki Raksha Karne Ke Liye. Agar Dhaarmik Azaadi Ke Iss Haq Ek Dharm Ke Liye Mahfooz Nahi Rakha Gaya, Toh Yeh Doosre Dhaarmik Minorities Ka Atyachaar Karega.