Mere Saare Naye Musalmaan Bhai Aur Beheno Ke Liye – Islam Mein Aap Ka Swaagat Hain. Allah Aapko Inaam De, Aapka Maargadarshan Kare Aur Aapko Is Behtareen Aur Sacche Deen Par Mazboot Rahke.
Naye Musalmano Ke Liye Aksar Ek Samasya Yeh Hoti Hai Ke Woh Apne Gharwalo Tak Yeh Baat Kaise Pahunchaye Ke Unhone Islam Apnaya Hai. Yeh Hamesha Se Ek Mushkil Samasya Rahi Hai. Sab Ki Paristhiti Alag Alag Hoti Hai Isliye Hum Sab Ke Liye Yeh Nahi Keh Sakte Ki Yahi Tarika Aur Waqt Sahi Hai. Magar Hum Aapko Kuch Cheeze Bata Sakte Hai Jo Aap Apne Zehen Me Rakh Sakte Hai Is Maamle Mein Koi Bhi Baat Shuru Karne Ke Pehle.
Unhe Tab Bataye Jab Aap Ko Lagta Hai Ke Aap Unhe Yeh Baat Batane Ke Liye Tayyaar Hai
Kuch Naye Musalmaan Apne Pariwaar Ko Turant Yeh Khabar Pohchaana Pasand Karte Hai Aur Kuch Yeh Samajhte Hai Ke Kuch Din Baad Batana Zyada Behtar Hoga. Dono Bhi Apne Jagah Par Sahi Hai. Allah Ke Nabi Muhammad (Rehmatein Aur Salaamatein Ho Aap Par) Ke Saathiyo Ne Islam Qabool Kiya Tha Usme Se Kuch Ne Apne Gharwalo Ko Turant Bataya Aur Kahiyo Ne Is Baat Ko Chupa Kar Rakha Jab Tak Woh Use Batana Sahi Nahi Samajhte. Aap Apne Paristhiti Ke Anusaar Apne Pariwaar Ko Bataa Sakte Hai.
Udaahran Ke Taur Par, Kuch Naye Musalmaan Apne Pariwaar Ko Tab Tak Bataane Ki Prateeksha Karte Hain Jab Tak Ki Woh Apne Emaan Yaani Shraddha Mein Mazboot Aur Adhik Jaankaar Mehsoos Nahin Karte, Taaki Jab Samay Aaye Toh Woh Unke Pariwaar Waalo Ke Sawaalon Aur Chintaon Ka Jawaab Dene Mein Behtar Ho Jaaye. Kuch Ko Pata Hota Hai Ke Unke Pariwaar Waalo Ke Paas Islam Ke Liye Negative Vichaar Hai. Isiliye Woh Pehle Koshish Karte Hain Yeh Negative Vichaar Ko Khatm Karne Ki Aur Unke Dharm Parivartan Ke Baare Mein Bataane Se Pehle Unki Samajh Ko Naram Karne Ki Bhi Koshish Karte Hain. Doosri Ore, Kuch Ke Liye Bohot Aasaan Hota Hai Apne Pariwaar Ko Apne Dharm Parivartan Ke Baare Mein Bataana.
Aap Khud Ko Aur Apne Pariwaar Ko Behtar Jaante Hain. Aapko Behtar Pata Hoga Ki Kaun Sa Drishtikon Aapke Liye Sabse Accha Kaam Karega. Aur Unhe Tab Bataaye Jab Aap Tayyar Ho.
Koshish Kare Ki Unhe Abhibhoot Na Kare
Yaad Rakhein Ki Jab Aap Kuch Samay Ke Liye Shahadah Lene Par Vichaar Kar Rahe Honge, Sambhaavana Hai Ki Yeh Sab Aapke Pariwaar Ke Liye Kaafi Achaanak Hoga. Isiliye, Bhale Hi Aap Bohot Khush Aur Utejit Hai Islam Ko Apnaane Ke Liye, Koshish Kare Ki Aap Unhe Yeh Khabar Zyaada Mazboot Bhaavnaao Ke Saath Na De. Jo Tarike Se Aap Yeh Sthiti Ko Sambhalte Hai, Uska Influence Aapke Pariwaar Waalo Ka Aap Par Aur Aapke Islam Par Hoga Aagey Badhte Waqt. Isiliye, Dhyaan Aur Vichaar Ke Saath Sampark Karein.
Yaha Kuch Mumkin Tareeqe Hai Jin Par Aap Gaur Kar Sakte Hain
- Agar Aap Sure Nahi Hai Ke Woh Islam Ke Baare Mein Kya Mehsoos Karte Hain Toh Casually Unke Saath Islam Ke Baare Mein Baat Kare Unhe Test Karne Ke Liye. Aise Karne Se Aap Pata Kar Sakte Hai Ke Woh Iss Khabar Ko Sunne Tayyar Hai Ya Nahi. Aise Karne Se Aapko Ek Mauqa Bhi Milega Unke Islam Ke Baare Mein Galat-fehmiyo Ko Advance Mein Door Karne Ka.
- Jab Aap Finally Tayyar Ho Jaaye Yaad Rakhe Ki Aapko Aapke Dharm Parivartan Ke Baare Mein Har Kisi Ko Nahi Batana Hai. Aap Apne Pariwaar Ke Kisi Ek Sadasya Ke Saath Shuruaat Kar Sakte Hai Jo Aapki Baat Ko Sunne Aur Samajhne Ke Liye Tayyar Ho.
- Aap Apni Sthiti Unhe Samjhaaye Aur Dekhe Ki Ve Kaise React Karte Hain. Yadi Baat-Cheet Aapke Aashao Ke Anuroop Nahi Hoti Hai To Aap Bhavishya Mein Ek Alag Drishtikon Ki Koshish Kar Sakte Hai. Yadi Baat-Cheet Acchi Tarah Se Hoti Hai To Aapke Paas Ek Samarthak Bhi Ho Sakta Hai Jab Aap Apne Pariwaar Ke Baaki Logon Ko Bataate Hai.
- Jab Aap Apne Pariwaar Se Apne Islam Ke Baare Mein Baath Kareinge Koshish Kare Ki Unhe Zyaada Islam Ke Baare Mein Ek Saath Na Bataaye.
Yahaan Ek Udaaharan Hai Ki Kya Nahi Kehna Chahiye:
“Mata Aur Pita, Mein Chaahta Hoon Ke Aap Yeh Jaan Le Ki Maine Decide Kiya Hai Ki Mujhe Musalmaan Banna Hai. Main Yeh Bhi Chahta Hoon Ke Aap Log Mere Liye Ab Se Halal Gosht Khareede Aur Saara Gair Halaal Ghost Ghar Se Nikaalkar Phek De. Aap Log Yeh Bhi Jaan Le Ki Mera Naya Naam Asadullah, Hamza, Abdul Khaliq Hai Aur Mein Keval Sirf Yahi Naam Pukaarne Par Jawaab Dunga. Main Yeh Bhi Chahta Hoon Ki Aap Yeh Jaan Le Ki Main Apni Daadhi Ko Lambaayi Se Badhaoonga. Aap Log Yeh Bhi Jaan Le Quran Ke Vaigyaanik Chamatkaaron Ke Baare Mein Jo Saabit Karti Hai Ke Quran Allah Ki Taraf Se Hai. Main Chahta Hoon Ke Aap Yeh Bhi Jaan Le Ke Aaj Se Do Hafto Baad Meri Shaadi Hai Aur Yeh Raha Aap Log Ko Nimantran. Aap Log Yeh Bhi Jaan Le Ke…”
AISA MAT KARE! AISA MAT KARE! AISA MAT KARE!
Bas Aap Musalmaan Ho Rahe Hai, Unke Liye Bahut Jhatka Lagne Waali Baat Hai Aur Unhe Samaayojit Karne Ke Liye Bohot Kuch Hai. Unke Liye Jitna Asaan Ho Sake Banaye Apne Islam Se Samjhauta Kiye Bina. Rahi Baat Dawah Ki, Aap Bohot Utejit Honge Apne Pariwaar Ke Saath Yeh Jeevan Ka Khoobsurat Tareeka Share Karne Ke Liye, Magar Yeh Sahi Samay Nahi Ho Sakta Hai. Iss Tathya Ke Alaava Ki Aap Abhi Bhi Apne Aap Ke Baare Mein Seekh Rahe Hai, Ve Iske Liye Bohot Grahanasheel Nahi Ho Sakte Hain Kyunki Ve Abhi Aapke Dharm Parivartan Ko Samajh Rahe Hai. Agar Aap Unn Par Islam Force Karenge, Toh Iska Vaastav Mein Vipareet Prabhaav Ho Sakta Hai. Yeh Unhe Islam Se Aur Door Kar Sakta Hai Aur Aapke Sambandh Ko Kharaab Kar Sakta Hai Jise Theek Karne Ke Liye Bohot Samay Lagega. Aavashya Hi, Agar Ve Aap Se Islam Ke Baare Mein Sawaal Karte Hain Ya Phir Islam Ke Baare Mein Jaanna Chahte Hai, Yeh Bohot Acchi Baat Hai Aur Aapko Unhe Jawaab Bhi Dena Chahiye. Lekin Ek Asaan Se Sawaal Ka Jawaab Ek 30 Minute Ke Lecture Ke Taur Par Mat De. Iss Mod Par, Unhe Islam Ke Baare Mein Sikhaana Ka Sabse Accha Tareeka Hai Aapke Behavior Ke Dwaara. Santoshi, Pyaar Karne Waale Aur Samajhne Waalo Mein Se Rahe. Allah Farmate Hai Pavitra Quran Mein:
“Aur Tera Parwardigaar Saaf – Saaf Hukm De Chuka Hai Ke Tum Uske Siwaa Kisi Aur Ki Ibaadat Na Karna Aur Maa – Baap Ke Saath Ihsaan Karna – Agar Teri Maujoodgi Mein Unn Mein Se Ek Ya Dono Budhape Ko Pohach Jaaye To Unke Aage Uff Tak Na Kehna, Na Unhe Daat Dapat Karna, Balke Unke Saath Adab Wa Ehteraam Ke Saath Baat Karna.” [Pavitra Quran 17:23]
Hume Dhyaan Rakhna Chahiye Ke Jab Hum Apne Pariwar Se Is Baare Mein Baat Karte Hai, Toh Yeh Zaroori Hai Ke Hum Bahas Mein Na Paddhe Unke Saath. Yeh Mushkil Ho Sakta Hai Kyunki Aap Mehsoos Kareinge Ki Aapke Vishvaason Ko Chunauti Di Ja Rahi Hai, Aapke Faislo Par Sawaal Uthaaya Ja Raha Hai, Aur Aapki Baato Ko Nazar Andaaz Kiya Ja Raha Hai. Aapko Yeh Baat Dhyaan Mein Rakhni Hogi Ke Yeh Ek Bahas/Debate Nahi Hai Aur Naahi Aapko Apne Aap Ko Sahi Saabit Karna Hai. Yeh Ek Mauqa Hai Islam Ko Amal Mein Daalne Ka.
Sabr Kare
Unse Baat Kare Aur Koshish Kare Unke Sawaalo Ka Jawaab Dena Ka. Agar Ve Nirash Hone Lagte Hain Aur Aapse Bahas Karne Lagte Hai, Toh Aap Ko Zaroori Nahi Hai Ke Aap Bhi Wahi Kare. Shaant Rahe. Ek Shaant Attitude Rakhe Aur Agar Aapse Unka Aisa Bartaav Bardash Nahi Hota Hai Toh Aap Unnse Ek Break Le Lijiye.
Pyaar Karne Waalo Mein Se Rahe
Unhe Dayaa Aur Rahem Bataate Jo Islam Sikhata Hai. Unhe Yaad Dilaayi Ke Aap Ek Pariwar Hai Aur Ke Aap Unse Bohot Pyaar Karte Hai. Har Samay Dayaalu Aur Sammaanit Rahe Aur Unhe Bohot Baar Gale Lagaaye.
Samajhne Waalo Mein Se Rahe
Unke Drishtikon Se Cheezo Ko Dekhne Ki Poori Koshish Kare Agar Ve Nahi Bhi Karte Ho. Kuch Palo Ke Liye, Yeh Samjhe Ke Ve Islam Ko Us Tareeke Se Nahi Dekhte Hain Jaise Ke Aap Dekhte Hai Aur Ve Sachmuch Mein Pareshaan Hai Is Badalaav Ke Liye. Isiliye, Koshish Kare Unhe Sahaj Karne Ki Is Poore Prakriya Ke Dauraan.
Musalmaan Bane Magar Vaastavik Bane Rahe
Unki Madad Kare Yeh Dekhane Ke Liye Ke Musalmaan Banne Ka Matlab Yeh Nahi Ke Aap Poori Tarah Se Badal Chuke Hai. Jab Ke Aap Apne Zindagi Mein Bohot Se Naye Badlaav Laa Rahe Honge, Aapke Bohot Si Cheezein Same Rahengi. Toh Apne Pariwar Waalo Ki Mada Kare Yeh Same Cheezo Ko Dekhne Mein. Sunishchit Kijiye Ke Aapke Pariwar Waalo Ke Har Charcha Ko Islam Ka Topic Na Haavi Kare. Ho Sakta Hai Ke Aapko Mehsoos Na Ho Ki Islam Ke Baare Mein Zyaada Charcha Ki Jaa Rahi Hai, Magar Aapke Pariwar Ko Mehsoos Ho Sakta Hai. Apne Pariwaar Ke Saath Unn Cheezo Ke Baare Mein Baat Kare Aur Unn Cheezo Ko Karne Mein Samay Bitaen Jo Aap Saamaany Roop Se Karte Hai, Bina Dharm Ko Beech Mein Laaye. Saath Hi Saath, Agar Aapke Pariwaar Waale Aapse Kuch Aise Cheezein Karaate Hai Jinhe Aap Karke Comfortable Feel Nahi Karte Hai, Toh Apne Islam Ko Un Ke Khushi Ke Liye Compromise Na Kare. Jaise Ke Allah Kehte Hai Quran Mein:
“Hum Ne Har Insaan Ko Apne Maa Baap Ke Saath Accha Sulook Karne Ki Naseehat Ki Hai Haan Agar Woh Yeh Koshish Kare Ke Aap Mere Saath Use Shareek Kar Le Jis Ka Aapko Koi Ilm Nahi Toh Inka Kehna Na Maane, Tum Sab Ko Lautna Mere Hi Taraf Hai Phir Main Har Us Cheez Se Jo Tum Karte The Tumhe Khabar Dunga. ” [Pavitra Quran 29:8]
Toh Agar Aapke Pariwaar Aapse Kuch Karne Kehte Hai Jo Ek Musalmaan Ki Bunyaadi Bhaavnao Ke Khilaaf Jaata Hai, Jaise Moorti Pooja Karna Ya Phir Namaaz Ko Chod Dena, Sammaan Se Unhe Samjhaye Ki Aap Yeh Compromise Bilkul Nahi Karenge. Ve Aapse Kuch Baato Par Bahas Karenge, Ve Kahenge Ke Aap Unfair, Besabab Aur Atal Bann Rahe Hai, Ve Koshish Karenge Aapko Guilty Mehsoos Karaane Ki Kyunki Aapne Unhe Upset Kiya Hai. Unhe Bataye Ki Aap Unke Feelings Ko Samajh Sakte Hai Magar Aap Apne Bhaavnao Par Compromise Nahi Karenge. Samay Ke Saath Ve Aapko Accept Karne Lagenge.
Unhe Samay De
Shuruaat Mein Aise Lagega Ke Ve Aapko Kabhi Accept Nahi Karenge, Magar Samay Bohot Kuch Badal Deta Hai. Aapke Mata Pita Ko Samay Lagega Sirf Yeh Vishwaas Karne Ke Liye Ke Aap Musalmaan Hai Aur Yeh Ke Yeh Koi Temporary Stithi Nahi Hai Aapki. Is Se Bhi Adhik Samay Lag Sakta Hai Ki Unke Liye Aapke Islam Ko Saamaanya Roop Se Dekhne Ke Liye Aur Unhe Yeh Pehchaanne Ke Liye Ki Islam Waaqayi Mein Aapke Liye Accha Tha Aur Isne Aapko Ek Behatar Insaan Bana Diya.
Toh Yaad Rakhe Ke Aap Akele Nahi Hai, Aapke Saath Aur Bohot Se Log Hai Jinhone Islam Mein Parivartan Kiya Hai Aur Aapki Tarah Bohot Si Kathinaayo Ka Saamna Kar Rahe Hai. Kuch In Kathinaayyo Ka Saamna Kar Chuke Hai Aur Dekhe Ke Unke Halaat Samay Ke Saath Kaise Behtar Ho Chuke Hai. Toh Hum Phir Se Kehte Hai, Ke Santosh Rahe. Yeh Ummeed Na Kare Ke Yeh Sab Ek Din Mein Hi Hojaaye, Magar Bharosa Rakhe Ke Haalaat Behtar Ho Jayengi.
Hum Dua Karte Hai Ki Allah Aapki Prashansa Kare Aur Aapke Liye Cheezein Asaan Kare. Hum Yeh Bhi Dua Karte Hai Ki Allah Aapke Pariwar Ko Maargdarshan Ke Saath Prashasan Kare Aur Ke Woh Saare Naye Musalmaano Ke Pariwar Ki Maargdarshan Kare. Ameen.