Ek bohot hi zaroori sawaal hai zindagi mein, aur woh hai ‘hum yahaan (iss dunyya mein) kyun hai?’
Kyun hai hum yahaan? Shohrat aur khush kismati ko haasil karne ke liye? Sangeet Banane aur bacchon ko janam dene ke liye? Qabristaan mein sabse ameer aadmi yaa mahilaa banne ke liye, jaise ki hume mazaak mein bataaya jaata hai “woh jo sabse zyaade khilono ke saath marta hai woh jeetta hain?’
Nahi, zindagi mein aur bohot kuch hai, toh chale isske baare mein sochte hai. Shuruaat karne ke liye, apne aas-paas dekhe. agar aap ek gufaa mein nahi rehte hain, to aap unn cheezon se ghire huye hain jinhe hum insaano ne apne haathon se banaaya hain. Ab, humne in cheezon ko kyun banaaya hain? Jawaab, beshak yeh hai ke hum cheezon ko humaare liye kuch khaas kaam karne ke liye banaate hai. Ises dhyaan mein rakhte hue, Parmeshwar Nee hume kyun banaaya, yadi Uski seva nahi ki toh?
Yadi hum humare Banaane Waale ko sveekaar karte hai, aur ye ke Usne Uski seva karne ke liye maanavjaati ko banaaya, phir agla sawaal uthhta hai ‘Kaise? Kaise hum Uski seva kare?’ Iss mein koi shak nahi, is sawaal ka jawaab sabse behtar sirf Woh de sakta hai Jisne hume banaaya hai. Agar Usne hume usski seva karne ke liye banaaya hai, toh Woh humse ek khaas tareeqe se kaam karne ki ummeed karta hai, agar hum apne maqsad r ko haasil karna chahte hai. Magar hum kaise jaane ki woh kaunsa tareeqa hai? Hum kaise jaane ke Parmeshwar humse kya Chahte hai?
Is par vichaar kare, Ishwar ne hume roshni di, jiski sahaayata se hum humaara raasta dhoond sake. Raat mein bhi, humaare paas chaand hai roshni ke liye aur taare navigation ke liye. Ishwar ne anya jaanwaro ko soochna unki sthitiyon aur zarooraton ke hisaab se di. Pravaasi pakshiyaan baadalon waale dinon mein bhi navigate kar sakti hai, baadalon ke beech se guzarti hui prakaash ke dwaara. Whale Machli prithvi ke magnetic fields ko “padhkar” pravaas karte hai. Salmon machli khule samudra se apne janm ke satheek sthaan par sunghkar vaapas aati hai, agar iski kalpana ki jaaye toh. Machli door ke harkaton ki bhaavna kar sakti hai pressure receptors ke dwaara jo unnke saare shareer par hoti hai. Bats aur nadi mein rehne waale andhey dolphin sonar yantra ke dwaara “dekhte” hai. Kuch samudri jeev (bijli ka jhatka dene waali machhli ek uchh voltage ka udahran hai) magnetic fields ko generate karte hai aur unhe “paddhte” hai, jisske dwaara woh gandey paani yaa samudra ki gehrayyiyon mein “dekh” sakte hai. Keet pheromon dwaara baat karte hai. Paudhe sooraj ke prakaash ko mehsoos karte hai aur uski ore baddhte hai (phototropism); unke jadd gravity ko mehsoos karte hai aur dharti mein badhhte hai (geotropism).
Thode shabdon mein kahaa jaaye, toh Ishwar ne Apne banaaye huye cheezo ke har tattva ko soochne ki shakti uphaar mein di hai. Kya hum vaaqai yeh maan sakte hai ki Usne hume humaare sabse ahem astitv ke pehloo ko soochne ki shakti nahi di, yaani ourraison d’etreour hone ki wajah? Ke Woh hume mukti paane ke raaste nahi dega?
Toh kya Kehta hai hume Banaane Waala, Ishwar, humaare maqsad ke baare mein? Ishwar Quran mein bataate hai ki Woh Insaan ko prithvi par Unke trustee banne ke liye Banaaye hai. Maanav jaati ka bunyaadi vishwaas aur humaari zimmedaari yeh hai ki hum Ishwar ko maane aur uski ibaadat kare:
“Meinne jinnaat aur insaanon ko mahaz iss liye paida kiya ke woh sirf Meri ibaadat karein.” [Pavitra Quran 51:56]
Bohot aasaan! Manushya ka maqsad Ishwar ki ibaadat karna hai. Ibaadat ki Islami samajh ek insaan ke poore jeevan ko ibaadat ka kaarya maanti hai, jab tak ke us jeevan ka maqsad Ishwar ki razaa haasil karna hai, jo ke accha karne se aur buri cheezo se door rehne se haasil hoti hai. Ek insaan apne dinbhar ke kaarya ko ibaadat mein badal sakta hai sirf apni neeyaton ko saaf karke aur sacchaai/imaandaari se yeh kaarya ke dwaara Ishwar ki razaa haasil kare. Nabi Muhammad (rehmatein aur salaamatein ho aap par) ne kaha:
“Kisko Salaam Karna Bhi Ek Sadaqah Hai. Adalo Insaaf Karna Ek Sadaqah Hai. Kisiko Ghodsawari Mein Madad Karna Bhi Ek Sadaqah Hai. Acchi Baat Karna Ek Sadaqah Hai. Namaaz Ke Liye Jaane Ke Liye Jo Har Ek Kadam Uthaya Jata Hai Woh Bhi Ek Sadaqah Hai. Raaste Se Kisi Rukawat Ko Hata Ne Bhi Ek Sadaqah Hai.”
Ibaadat, Ishwar ko maanne waalon ko bohot se faydein deti hai jo unke dhaarmik aur dunyaavi haal ke liye bohot faydemand hoti hai. Insaan ke shareer ko jeene ke liye materialistic cheezon ki zaroorat hai jaise ke khaana, paani, aur prajanan ka ek zariya. Rooh/Aatma ke zarooratein sirf Ishwar ke nazdeek hone ke baad poori hoti hai aur Unse humari nazdeeki Imaan/Shraddha aur Unna paalan karne ke dwaara ho sakti hai, jo ki sirf Unki Ibaadat karne se mumkin hai.
Ishwar ki Ibaadat har haal mein karni chahiye, chaahe woh takleef ho ya khushi aur sirf Unke zikr se ek insaan androoni shaanti praapt kar sakta hai:
“Hume pata hai ke in ki baaton se aapka dil tangg hota hai. Aap Apne Parvardigaar ki tasbeeh aur hamd bayaan karte rahe aur sajdah karne waalon mein shaamil ho jaayein. Aur Apne Parvardigaar ki ibaadat karte rahe yahaan tak ke aap ko maut aajaaye.” [Pavitra Quran 15:97-99]
“Jo log Imaan laaye in ke dil Allah ke zikr se tasalli haasil karte hai – Yaad rakho Allah ke zikr se hi dilon ko tasalli haasil hoti hai.” [Pavitra Quran 13:28]
Ishwar aagey kehte hai ke Unho ne yeh zindagi insaan ko aazmaane ke liye banaayi hai taake har insaan ko uska kamaaya hua inaam mil sake maut ke baad:
“Jisne maut aur zindagi ko iss liye Paida kiya ke tumhe aazmaaye ke tum mein se accha kaam kaun karta hai, aur Woh Ghalib (aur) Bakhshne Waala hai.” [Pavitra Quran 67:2]
Magar Ishwar ki ibaadat karne ke liye bohot zaroori hai ke hum Unnhe acchi tarah se jaane taake hum Unnhe ghalat samajhkar raastey se bhatak naa jaaye. Ishwar maanav jaati ko bataate hai ke Woh kya hai aur kya nahi, jaise ke jab Nabi Muhammad (rehmatein aur salaamatein ho aap par) ko poocha gaya tha Ishwar ke baare mein, Ishwar ne bataaya:
“ Aap keh dijiye ke Woh Allah Taala Ek (hi) hai. Allah Taala be niyaaz hai. Naa Usse koi paida hua na Woh kisi se paida hua. Aur Na koi Uske hamsar hai.” [Pavitra Quran 112:1-4]