Home Mool Cheezein Quran Pavitra Quran Padhne Ke 7 Kaaran

Pavitra Quran Padhne Ke 7 Kaaran

Pavitra Quran Padhne Ke 7 Kaaran

1. Soochit Karna:

Quran Apne Aap Ko Galat Saabit Karne Ki Chunauti Deta Hai. Kaise? Yeh Kehta Hai Ki Koi Bhi Insaan Uske Sare Wasaail Istemaal Karlein Aur Aatmaon Se Bhi Madad Le Le Tab Bhi Is Tarah Ki Kitaab Nahin Likh Sakta. Quran Ne Hamse Yeh Chauda Saun (1400) Saal Pehle Kaha Hai Aur Phir Bhi Ab Tak Koi Bhi Ise Galat Saabit Nahin Kar Saka. Arbon Kitaabein Likhi Gayi Hai Par Koi Bhi Quran Ki Tarah Nahin Hai.

2. Ismein Koi Milaawat Nahin Kar Sakta:

Sirf Yeh Hi Ek Aisi Mazhabi Aur Muqaddas Kitaab Hai Jo Kafi Lambe Samay Se Mawjood Hai Lekin Phir Bhi Ismein Koi Milaawat Nahin Hai Aur Yeh Bilkul Usi Tarah Hai Jis Tarah Shuru Mein Thi. Quran Ko Barkarar Rakha Gaya Hai. Us Din Se Jabh Woh Puri Tarah Se Utara Gaya Tha 1400 Saal Pehle, Usmein Naa Toh Kuch Dala Gaya, Na Hi Usmein Kuch Badla Gaya Aur Nahin Usmein Se Kuch Nikala Gaya.

3. Use Koi Peeche Nahi Chhod Sakta:

Insaanon Ke Liye Khuda Ki Sabse Aakhri Utaari Gayi Kitaab Quran Hai. Khuda Ne Musa Par Naazil Ki, Zaboor Dawood Par, Injeel Isa Par Aur Aakhir Mein Quran Muhammad Par Naazil Ki. Salamati Ho Un Sab Par. Is Aakhri Kitaab Ke Baad Khuda Ki Taraf Se Aur Koi Kitaab Naazil Nahin Hone Wali Hai.

4. Nirvivaad:

Quran Waqt Aur Jaanch Padtaal Ke Imtihaan Par Khara Utra Hai. Koi Bhi Is Kitaab Ki Sachchai Par Behas Nahin Kar Sakta. Yeh Kitaab Itihaas Ke Barey Mein Kehti Hai Jo Ki Sab Saheeh Saabit Hota Hai. Yeh Mustakbil/Future Ke Bare Mein Kehti Hai Peshangoi Ke Zariye Aur Woh Saheeh Saabit Hoti Hai. Yeh Kitaab Tafseel Se Physical Phenomena Ke Bare Mein Batati Hai Jo Ki Logon Ko Us Zamaney Mein Maloom Nahin Thi; Iske Bawajood Aaj Kal Vaigyanik Khoj Yeh Saabit Kar Rahi Hai Ki Quran Hamesha Se Sahi Tha. Har Koi Kitaab Ko Revise Karna Padhta Hai Taki Woh Naye Ilm Ke Mutaabik Rahe. Quran Hi Sirf Ek Aisi Kitaab Hai Jo Nayi Khoj Hone Par Usska Khandan Nahin Karti.

5. Is Zindagi Aur Baad Wali Zindagi Ke Liye Aapka Roadmap:

Quran Sabse Behtareen Guidebook Hai Jo Aapki Zindagi Ko Rah Dekhati Hai. Aisi Aur Koi Kitaab Nahin Hai Jo Itni Detail Taur Par Isaan Ki Zindagi Ke Har Mamle Ke Bare Mein Batati Ho. Quran Yeh Bhi Batata Hai Ki Hum Kis Tarah Is Zindagi Ke Baad Aane Wali Zindagi Mein Hamesha Ki Khushi Haasil Kar Sakte Hai. Yeh Kitaab Aapka Roadmap Hai Jo Aapko Swarg Mein Pohachne Ka Raasta Batati Hai.

6. Hidayat Ke Liye Khuda Ka Tohfa:

Khuda Ne Tumhe Akela Nahin Choda Hai. Usne Tumhein Kisi Maqsad Ke Liye Banaya Hai. Khuda Bata Hai Ki Usne Humein Kyun Banaya Hai, Woh Hamse Kya Chahta Hai Aur Usne Humare Liye Kya Inaam Tayaar Kar Rakha Hai. Agar Aap Kisi Machine Ko Uskey Banane Wale Ki Bataye Tareeqe Ke Mutabiq Istemaal Nahi Karenge Toh Aap Use Kharaab Kar Denge. To Aap Ka Kya? Kya Aapke Paas Aapke Malik Ki Guide Hai? Yeh Quran Aapkey Sahi Tarikey Se Kaam Karney Ke Liye Diya Gaya Hai Taki Aap Kaam Karne Mein Nakaam Na Ho. Yeh Khuda Ki Taraf Se Ek Ilaaj Aur Rehmat Hai. Yeh Aapki Aatma Ko Mutmaeen Karta Hai Aur Dil Ko Saaf Karta Hai. Yeh Shaq Mitata Hai Aur Sukoon Lata Hai.

7. Khuda Se Baat Karne Ka Zariya:

Insaan Saamajik Makhlooq Hai. Dusre Zaheen Makhlooq Key Saath Baat Karna Humein Bohot Achcha Lagta Hai. Quran Humein Batata Hai Ki Hum Kis Tarah Baat Kar Sakte Hai Usse Jo Ki Sabhi Zahanat Ka Zariya Hai Aur Sabhi Ki Zindagi Ka Zariya Hai – Woh Ek Khuda. Quran Hame Batata Hai Ki Khuda Kaun Hai, Hume Use Kis Naam Se Pukarna Chahiye Aur Hum Usse Kis Tarah Baat Kar Sakte Hai.

Kya Yeh Saat Karan Kaafi Nahin Quran Padhney Ke Liye?

Aur Lekh Load Karein
Comments Bund Hain.

Yeh Bhi Dekhe

Kya Islam Anya Logo Ke Dharm Vishwaaso Se Sehensheelta Sikhata Hai?

Islam Dharm Ko Aksar Nafrat Aur Abaadhit Hinsa Me Chitrit Kiya Jata Hai. Ke Yeh Dusre Dhar…