Insaan Ke Liye Khuda Ka Sabsey Bada Fazal, Behtareen Hikmat Aur Izhaar Karney Ki Hatmi Khoobsoorti: Yani, Khuda Ka Kalaam. Agar Kisi Musalmaan Se Iske Bare Mein Poocha Jaaye To Bohot Mumkin Hai Ki Woh Isi Tarah Key Shabdon Mein Uske Bare Mein Batayega. Quran, Musalmaan Ke Liye Na Kaabile Tardeed Aur Khuda Ka Anokha Kalaam Hai. Ise Khuda Ne Apne Paigambar Muhammad (Rehmatein Aur Salaamatein Ho Aap Par) Par Naazil Kiya. Quran Mein Jo Hai Usko Likhne Ka Kirdaar Paigambar ﷺ Ne Nahin Kiya, Balki Woh Toh Sirf Ek Insani Secretary The Jo Apne Khuda Ka Hukm Dohra Rahe The:
“Aur Na Woh Apni Khwahish Se Kuch Baat Kehta Hai. Woh Toh Sirf Wahi (Kehta) Hai Jo Utaari Jaati Hai.”
[Pavitra Quran 53:3-4]
Quran Arabi Mein Utaara Gaya, Paigambar Muhammad ﷺ Par 23 Saal Ki Muddat Mein. Woh Is Anokhe Tareeke Ka Hai, Ki Naa To Use Shaayri Kaha Jaa Sakta Na Toh Nassr (Prose), Balke Woh In Dono Ka Mishran Hai. Quran Ek Anokhi Kitaab Hai Jis Ki Tarah Aur Koi Kitaab Nahin Banaai Ja Sakti, Aur Khuda-E-Azeem Insaan Ko Chunauti Deta Hai Ki Agar Insaan Sochta Hai Ki Woh Is Tarah Ki Kitaab Likh Sakta Hai Toh Woh Yeh Karke Bataye:
“Kya Yeh Log Kehte Hai Ki Aap (Muhammad ﷺ) Ney Isko Ghad Liya Hai? Aap Keh Deejiye Ki Toh Phir Tum Iski Misaal Ek Bhi Surat Lao Aur Allah Ke Ilawa Jin Jin Ko Bula Sako, Bulalo Agar Tum Sachche Ho.” [Pavitra Quran 10:38]
Quran Ki Zubaan Beshak Azeem Hai, Use Padhte Hi Dil Hilte Hai, Jaise Ki Ek Gair Musalmaan Aalim Ne Kaha, Yeh Mere Dil Ke Dhadkan Ki Lehar Thi. Iski Anokhi Zabaan Ki Wajah Se Yeh Nah To Sirf Asaani Se Bohot Padha Jaa Sakta Hai Balki Ise Yaad Karna Bhi Bohot Asaan Hai. Yeh Aakhri Baat Ne Bohot Hi Zaroori Kirdaar Nibhayi Hai Naahi Sirf Quran Ki Hifaazat Mein Balki Musalmaanon Ki Deeni Zindagi Mein Bhi. Khuda Khud Elaan Karta Hai,
“Aur Beshak Humne Quran Ko Samajhne Key Liye Asaan Kar Diya Hai – Pas Kya Koi Naseehat Haasil Karne Wala Hai?” [Pavitra Quran 54:17]
Quran Ki Sabse Ehem Khaasiyat Mein Se Ek Yeh Hai Ki Woh Aaj Bhi Barkaraar Hai, Yeh Waahid Muqaddas Kitaab Hai Jo Kabhi Badli Nahi Gayi; Yeh Kisi Bhi Tarah Aur Har Tarah Ki Milaawat Se Azaad Rahi Hai. Sir William Muir Ne Note Kiya, “Shaayad Duniya Mein Aisi Koi Dusri Kitaab Nahin Hai Jo Chauda Sadiyon Se Itni Shudh Rahi Hai.” Quran Paigambar Muhammad ﷺ Ke Dauraan Unki Nigraani Mein Likha Gaya Tha Jab Ki Wo Khud Unpadh The, Aur Fauran Inki Maut Ke Baad Ek Sakht Tarike Ke Zariye Iski Tazabzub (Canonized) Hui Aur Donon Tahriri Aur Zubaani Riwayaat Ki Jaanch Padtaal Hui. Is Tarah Iski Sadaaqat Bedaag Hai, Aur Iska Mahfooz Rehna Khuda Ke Wade Ki Takmeel Ki Tarah Dekha Jaata Hai:
“Humne Hi Is Quran Ko Nazil Karaya Hai Aur Hum Hi Iske Muhafiz Hai.” [Pavitra Quran 15:9]
Quran Aisi Kitaab Hai Jo Insaan Ko Roohani Aur Aqli Ghiza Deti Hai Jiski Woh Arzoo Karta Hai. Iske Ehem Vishay Mein Khuda Ki Ekta, Insaani Wajood Ka Maqsad, Imaan Aur Khudai Shaoor, Aakhirat Aur Iski Ehmiyat Shaamil Hai. Quran Vichaar Or Samajhney Par Bhi Bohot Zor Deta Hai. Insaani Samajh Ke In Shetron Mein, Quran Insaani Akal Ko Mutmaeen Karne Se Balatar Hai; Yeh Mazmaraat (Implications) Par Gaur Karne Ka Sabab Banta Hai. Ismein Chunautiyan Aur Peshangoiyan Hai.
Pichle Kuch Saalon Mein Sabse Dilchasp Shetron Mein Se Ek Yeh Khoj Rahi Hai Ki Quran Majeed Mein Vaigyanik Jaankariyon Ki Eham Mikdaar, Jismein Big Bang Ki Ghatna, Janiniyat (Embryology) Ki Maloomaat Aur Khagol Vigyaan (Astronomy) Aur Jeev Vigyaan (Biology) Se Sambandhit Kai Jaankari Hai, Ismein Se Ek Bhi Aisa Bayaan Nahin Hai Jo Aaj Kal Ki Nai Discovery Se Jhutlaya Gaya Ho. Mukhtasar Shabdon Mein, Quran Dil, Rooh Aur Dimaag Ko Poora Karta Hai.
Quraan Ki Sabsey Achchi Tafseel Shayad Hazrat Muhammad ﷺ Ke Chacha-Zaad Bhai Ali Ne Di Thi Jab Inhone Iski Wazahat Ki Is Tarah,
“Khuda Ki Kitaab. Ismein Tumse Pehle Ke Logon Aur Qaumon Ki Khabrein Hai Aur Baad Ke Logon Ki Bhi Khabrein Hai, Aur Tumhare Darmiyan Ke Umoor Aur Muamlaat Ka Hukum Aur Faisla Bhi Is Mein Maujood Hai. Aur Woh Faisla Karne Wala Hai, Hansi Mazak Ki Cheez Nahi Hai. Jis Ne Usay Sar Kashi Se Chod Diya Allah Use Tod Dega. Jo Use Chod Kar Kahin Aur Hidayat Talaash Karega Allah Use Gumraah Kar Dega. Woh (Quran) Allah Ki Mazboot Rassi Hai, Yeh Woh Hikmat Bhara Zikr Hai, Seedha Rasta Hai. Quran Zubano Ke Wajeh Se Bigadta Nahi Aur Na Hi Woh Kisi Ke Khwaahisho Ke Wajeh Se Idhar Udhar Hota Hai. Is Ke Baar Baar Padhney Se Bhi Woh Purana Nahi Hota. Scholars Chahein Kitna Hi Use Padhein Unhe Asoodgi Nahi Hoti. Quran Ki Anokhi Aur Qeemti Batein Khatam Nahi Hoti. Jo Is Ke Mutabiq Bolega Is Ke Mutabiq Amal Karega Usne Sach Kaha Hai Aur Use Ajar Aur Sawaab Diya Jayega Aur, Jisne Is Ke Mutabik Faisla Kiya Usne Insaaf Kiya, Aur Jis Ne Iski Taraf Bulaya Use Seedhe Rastein Ki Hidayat Milegi.”
[At-Tirmidhi]