Bohot Se Dharmo Mein Jaise Ke Yahudi, Isaai, Baudh, Aur Hindu Dharm Kisi Ek Shakal Mein Ya Kisi Aur Tarah Se – Vrat – Ya Upwaas Rakhte Hain. Isi Tarah Musalmaano Ka Bhi Ek Upwaas Hota Hai (Arabi Mein Jise Sawm Kehte Hai), Jo Har Saal Ramzaan Ke Mahine Ke Dauran Hota Hai. Is Daur Mein, Musalmaano Ko Laazim Hai Ke Woh Pehli Roshni (Yani Suryoday Se Pehle) Se Sooryaast Tak Khana, Peena Aur Sharirik Sambandh Se Parhez Karein. Halaki, Kuch Musalmaan – Jaise Ke Buzurg, Bimaar, Aur Garbhwati Ya Maahvaari Mahilaon Ko – Upwaas Se Choot Di Jaati Hai Kyunki Khuda Un Logon Ko Raahat Deta Hai Jinhein Is Amal/ Kriya Mein Mashgool Hona Mushkil Lagega.
Ramzaan Kab Hai?
Islami Calendar Chaand Ke Mutaabiq Hota Hai. Yeh Gregorian Calendar Ki Tarah Nahi Hota Jo Suraj Ke Mutaabiq Hota Hai. Naye Chaand Ke Nazar Aane Par Mahine Ki Shuruwaat Aur Dobara Naye Chaand Ke Nazar Aane Par Mahine Ka Ant Hota Hai. Musalmaan Saal Ke Is Waqt Chaand Dekhne Ko Bohot Ehem Samajhte Hai. Lekin, Isse Kisi Ko Yeh Sochne Mein Bhramit Nahin Hona Chahiye Ki Musalmaan Chaand, Ya Koi Chandra Dev Ki Pooja Karte Hain.
Ramzaan Jo Ki Islamic Calendar Ka Nauwa (9th) Mahina Hai, Har Saal Tabdeel Hota Hai – Aam Taur Par Har Gregorian Saal Mein 10 Din Pehle Hota Hai. Eid-Ul Fitr Manane Ke Saath Hi Yeh Daur Khatam Hota Hai. Halaaki, Makaami Chaand Dikhne Ki Bunyad Par Duniya Ke Mukhtalif Hisson Mei Taareekh Mukhtalif Ho Sakti Hai. Yeh Ishwar Ki Rehmat Mein Se Hai Ke Is Tarah Har Insaan Apni Zindagi Mein Har Mausam Mein Roza Rakhega.
Musalman Upwaas (Roza) Kyun Rakhte Hain?
“Aye Imaan Walo! Tum Par Roza Rakhna Farz Kiya Gaya Jis Tarha Tum Se Pehle Logon Par Farz Kiya Gaya Tha – Taake Tum Taqwa Haasil Kar Sako ” [Pavitra Quran 2:183]
Islam Mein Doosri Ibaadat Ki Tarha, Musalmaan Roze Rakhte Hain Kyunki Ishwar Ne Un Ko Hukum Diya Hai. Is Qurani Aayat Ke Utarne Se Pehle, Musalmaan Khaas Dino Par Roza Rakhte The, Lekin Koi Mustaqil Muddat Laazmi Nahi Thi.
Roza Rakhne Ka Maqsad Musalmanoon Ko Ishwar Ki Dhaarmikta Aur Shaoor Haasil Karna Hai. (Ise Arabi Mein Taqwa Kehte Hai). Roza Rakhne Ke Dauran Is Khoobi Ki Parwarish Hoti Hai Kyunki Musalmaan Jaan Boojh Kar – Apne Jismani Khwaahishon (Khane, Peene Aur Jinsi Qurbat) Ka Inkaar Karta Hain Taake –Apne Androoni Wujood (Rooh) Ko Mazeed Khudai Maqaam Tak Pohcha Sakein.
Yeh Kaise Kaam Karta Hai Is Ko Samajhney Ke Liye, Har Ek Insaan Ko Ek Paimane Ki Tarah Sochein Jiske Do Pehlu Hain: Ek Taraf Jism Hai, Aur Doosri Taraf Aatma Hai. Jism Ki Parwarish Karne Ke Liye, Hum Khane Peene Mein Ek Balanced Diet Lete Hain. Apni Rooh Ki Parwarish Ke Liye, Hum Ruhani Gatividhiya Karte Hain Jaise Dua, Khud Akaasi (self-reflection), Aur Khuda Ka Zikr. Bad Qismati Se, Hum Mein Se Bohot Se Log Shareer Par Had Se Zyada Dhyaan Dete Hai Lehaza Hum Bimaar Jism Pate Hain. In Cheezon Ko Mazeed Kharaab Karne Ke Liye Jab Hum Apne Ruhani Pehlu Ko Nazar Andaz Karte Hain To Hamein Mazeed Neeche Kheench Liya Jata Hai .
Yaqeenan, Bhuke Pyase Rehne Se Dil Bhi Naram Hota Hai Aur Gareebon Ki Peeda Samajhne Mein Bhi Izafaa Hota Hai. Agarche Roze Daar Apni Marzi Se Khana Peena Chodta Hai, Lekin Gareeb Rozana Bhuke Reh Jate Hain Kyunki Woh Bunyadi Rizq Haasil Karne Ke Liye Jid-o-Jehad Karte Hain Jiska Bohot Sare Log Qadar Nahin Karte.
Kya Yeh Sirf Roza Rakhne Ki Baat Hai?
Jahan Ramzaan Ka Focus Khane, Peene Aur Sharirik Sambandh Se Parhez Karna Hai, Musalmaan Is Mahine Ke Dauraan Behtar Kirdaar Banane Ki Koshish Karte Hain. Woh Gunah Wale Kaamn Se, Jaise Ki Chugli Karna Aur Gup Shup Karna, Aur Aatma Ko Nuqsaan Dene Wali Cheezon Ko Dekhne Aur Sunne Se Door Rehne Ki Bharpoor Koshish Karte Hain.
Hazrat Muhammad (rehmatein aur salaamatein ho aap par) Ne Musalmaano Ko Mashwara Diya:
”Roza Kavach Hai. Lehaza Agar Yeh Woh Din Hai Jis Mein Tum Mein Se Koi Roza Rakhe To Usne Gandi Baat Nahin Karna Chahiye, Nahi Woh Gunah Gaar Hona Chahiye Aur Nahi Use Jaahil Hona Chahiye. Aur Agar Koi Is Par Taana Zaani Karta Hai To Use Yeh Kehna Chahiye:”Mein Ek Shakhs Hoon Jo Roze Se Hoon.” [Bukhari Aur Muslim]
Bohat Se Musalmaan Ramzaan Ke Dauran –Apni Laazmi Salana Sadqa (Jise Zakaat Kaha Jata Hai) Ada Karte Hain, Kyunki Is Mahine Mein Achche Kaam Karne Se Aur Bhi Zyaada Inaam Milta Hain. Paiso Ke Sath Sath, Musalmaan Samaaj Ke Kaamo Mein Bhi Shaamil Hote Hain Taake Zaroorat Mando Ki Madad Karein, Aur Shaam Ke Waqt / Roza Kholne Ke Baad Ka Khana (Iftaar) Ghareebon Ke Saath Baantey Hain.
Agarche Yeh Nek Kaam Ramzaan Ke Dauran Zyaada Inaamaat Kamate Hain, Lekin Musalmaan Ko Inhe Sirf Is Mahine Tak Hi Simit Nahi Rakhna Chahiye, Aur Ramzaan Ki Gati /Raftaar Ka Istemaal Karna Chahiye Is Tarha Ke Nek Aamaal Ko Bakaida Tareeke Se Saal Bhar Karte Rehne Ke Liye.
Ramzaan Aur Quran
“Mahe Ramzaan Woh Hai Jis Mein Quran Utara Gaya, Jo Logon Ko Hidaayat Karne Wala Hai Aur Haqq Wa Baatil Ki Tameez Ki Nishaaniya Hai.” [Pavitra Quran 2:185]
Ramzaan Khaas Taur Par Ehem Hai Kyunki Yeh Woh Mahina Tha Jab Ishwar Ne Islam Ki Pavitra Kitaab, Quran Majeed Paigambar Muhammad ﷺ Ko Bheji Thi. Is Mahine Mein Poori Kitaab Ishwar Ki Mawjoodgi Se Utaari Gayi Thi, Lekin Use Ek Hi Baar Mein Nahi Diya Gaya Tha. Is Ke Bajaye, Yeh 23 Saal Ke Arse Mein Thoda Thoda Utara Gaya. Is Tarha, Musalmaan Is Mahine Mein Quran Ko Vishesh Roop Se Sammaan Dete Hain, Use Din Ke Waqt Aur Raat Ke Waqt Ek Khaas Namaaz Jise Taraweeh Kehte Hain Is Namaaz Mein Quran Ko Padhte Hain.
Ramzaan Ki Ek Khaas Raat
“Yaqeenan Hum Ne Ise (Quran Ko) Shab-e-Qadr Mein Naazil Farmaya. Tu Kya Samjha Ki Shab-e-Qadr Kya Hai? Shab-e-Qadr Ek Hazaar Mahinon Se Behtar Hai. Is (Mein Har Kaam) Ke Sar Anjaam Dene Ko Apne Rabb Ke Hukm Se Farishte Aur Rooh (Jibreel) Utarte Hain. Yeh Raat Sarasar Salaamati Ki Hoti Hai Aur Fajar Ke Shuru Hone Tak (Rehti Hai).” [Pavitra Quran 97:1-5]
Hukm naama Ki Raat (Jisay Laylatul Qadar Kaha Jata Hai ) Ramzaan Ki Choti Hai. Yeh Raat Quran Majeed Ke Utare Jaane Ki Raat Ki Saalgirah Hai Aur Is Wajah Se Is Ki Bohot Zyaada Ehmiyat Hai. Barkatein Aisi Hain Ke Is Raat Ko Kiye Gaye Achche Kaamo Mein Bohat Zyaada Izafah Hota Hai. Yeh Raat 1000 Mahino Se Behtar Hai.
Ramzaan Ka Tajurba Karne Ke Liye Tayyar Hai?
Agar Aap Musalman Nahi Hain, Toh Is Saal Ramzaan Ke Dauraan Kuch Din Upwaas Rakhne Ki Koshish Karne Ki Chunauti Khud Ko Kyon Na De?
Isse Bhi Behtar – Apne Kuch Doston Ko Jama Karen Aur Dekhe Ke Aap Mein Se Kaun Is Mahine Ke Dauran Zyaada Din Roza Rakh Sakta Hai. Jab Aap Is Kaam Ko Poora Kar Le – To Apne Vichaaron Ko Hamare Saath Batein – Hamein Yeh Bataye Ki Aapne Is Chunauti Mein Kaise Kiya, Aur Aapne Isse Kya Seekha Hai.
Roza Kaise Rakhe?
1. Subah Sawere/ ‘True Dawn’ Se Lagbhag 30 Minute Pehle Ka Alarm Set Karein.
(Apni Sthaani Masjid Se Ya Online Ramzaan Ka Calendar Praapt Karein, Aur Us Samay Ke Liye Dekhen Jo Suhoor / Sehri Ka Ant Hai.)
2. Sachchee Subah Se Pehle Ek Achcha Naashta Karein, Aur Apne Daant Ghasen.
3. Is Din Roza Rakhne Ka Irada Karein. Aap Ya To Use Zubaani Taur Par Keh Sakte Hain, Ya Aap Ke Zehan Mein -Lekin Is Ka Ehem Pehlu Yeh Hai Ke Aap Khaane, Peene (Pani Samet) Tambaku, Cigarette Noshi Aur Sharirik Sambandh Se Haqiqi Tulu Fajr (Suryoday Se Pehle) Se Sooryaast Tak Apne Aapko Rokna Hain. Aap Gup Shup Aur Deegar Kaamo Jinse Doosron Ko Naraazgi Ho Sakti Hai, Inse Baaz Aa Jane Ka Bhi Irada Karna Hain.
4. Agar Yeh Subah Mein Bohot Jaldi Hai To, Apna Din Shuru Karne Ke Liye Uthne Se Pehle Aap Jhapki Le Sakte Hai.
5. Din Ke Waqt Mein, Un Cheezon Se Parhez Karne Ki Poori Koshish Karen Jin Ka Aap Irada Kar Chuke Hain.
6. Sooryast Ke Chand Minute Baad (Ya Ramzaan Calendar Par Maghrib Ka Waqt), Khane Aur Peene Se Roza Khole. Kisi Bhi Meethi Cheez Ke Saath Jaise Ki Kuch Khajoor, Ya Mehez Pani Se Apna Roza Kholna Behtar Hai.
7. Is Baat Ko Pratibimbit Karne Ke Liye Samay Lagaein Ke Roze Ke Dauran Aapko Kaisa Mehsoos Hota Hai, Aur Aap Ne Is Tajurbe Se Kya Seekha Hai.
8. Aap Dosre Dinon Mein Roza Rakhna Chahte Hain Toh 1 Se 7 Upar Diye Gaye Points Ko Dohraye.
All The Best! Aap Ke Ramzaan Challenge Ke Liye